Kanz e Aza

Ahle Haram ka moniso ghamqaar margaya

A marsiya for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ahl-E- Haram Ka Monis-O-Ghamkhaar Margaya

Wo Zor-E- Baazu-E Shah-E- Abraar Margaya

Hae Hae Nashaan-E- Hyder-E- Karrar Margaya

Lashkar Huwa Tamaam Alamdar Margaya


Sarf-E- Buka Haram Me Shah-E- Mashraqain Ke

Rote Hain Kooze Phaink Ke Bacche Hussain Ke


Maara Gaya Taraai Pa Hyder Ka Laadla

Shaanoun Se Haae Dast-E- Mubaarak Huwe Juda

Paiwast ek Aankh Me Teer-E- Jafaa Huwa

Sar Gurz Aahni Se Hai Shaq Waa Musibata


Aisi Kisi Shaheed Pa Guzri Jafaa Nahi

Girte Hain Zee'n Se Haathoun Ka Bhi Aasra Nahi


Kyu Ro rahe Ho Aye Pisar-E- Shah-E- Mashraqain

Kya Guzri Khalb-E- Zaar Pa Hyder Ke Noor-E- Ain

Kuch To Kaho Zabaan Se Dil ko nahi Hai Chain

Aaya Hai Dekho Laash Pa Bhaai Teraa Hussain


Is Bekasi Me Jaate Ho Mu Apna Mod Ke

Ghurbath Me Kispe Jaate Ho Bhaai Ko Chodh Ke


Phir Roke Bole Shaah Ke Qadmoun Pa Rakh Ke Sar

Hai Arz Ye Ghulaam Ki Ya Syedul Bashar

Sharminda Hai Sakina Se Abbas-E- Naamwar

Laasha Hamara Leke Na Jaae'n Qayaam Par


Qaadim Ko Rahne Dijiye Aaqa Lab-E- Furaath

Maskan Rahe Ghulaam Ka Moula Lab-E- Furaath


Ye Kehte The Hussain Se Abbas-E- Nekh Naam

Hichki Ek Aai Ghash Ne Diya Mout Ka Payaam

Aankhen Jhuka Ke Sheh Ko Kiya Aaqri Salaam

Haathoun Se Dil Ko Thaam Liya Sarwar-E- Anaam


Ghurbath Me Shah-E- Deen Ko Be Aas Kar Gaye

Tanha Hussain Hogaye Abbas Margaye


Sar Uth Ke Peet-Te The Shainshaah-E- Do Jahaa'n

Sheh Ko Sambhaalte The Ali Akbar-E Jawaa'n

Kehe The Roke Bete Se Ye Sarwar-E- Zamaa'n

Abbas Ham Ko Chod Gaye Aye Pidar Ki Jaan


Kis Se Kahe Jo Guzra Hai Sadma Hussain Par

Dard-O- Alam Ka Aasmaa'n Toota Hussain Par


Aye Ibn-E- Fatema Ke Fidaai Uttho Uttho

Kaisi Tumhe Ye Neend Hai Aayi Uttho Uttho Kyun Tum Ne Ki Pasand Taraai Uttho Uttho

Bhaai Uttho Uttho Mere Bhaai Uttho Uttho

Labbaik Kehke Aate Nahi Ibn-E- Buturaab

Aawaaz Par Hussain Ki Dete Nahi Jawaab


Bhaai Bataao Qaime me Jaakar Mai Kya Kahoo'n

Be-Chain Hongi Aal-E- Payambar Mai Kya Kahoo'n

Nanhi Sakina Se Aye Baradar Mai Kya Kahoo'n

Pooche Mujhe Jo Zainab-E- Muztar Mai Kya Kahoo'n


Kaise Kahoo'n Taraai Pa Shabbir Lut Gaya

Abbas Ka Hussain Se Saath Aaj Chut Gaya


Ye Kehke Naher Se Chale Rote Huwe Imaam

Akbar Ne Mashk Aur Alam Ko Liya Tha Thaam

Pahonche Dar-E- Qiyaam Pa Jis Dam Shah-E- Anaam

Bhaai Se Lipti Doudh Ke Zainab Falak Maqaam


Kehti Thi Kyu Alam Hai Ye Khoo'n Me Bhara Huwa

Batlaao Bhaai Jaa'n Mera Abbas Kya Huwa


Zainab Se Tab Ye Kehne Lage Shah-E- Karbala

Hai Hai Ali Ke Sher Ke Baazu Huwe Judaa

Teer-E- Sitam Se Mashk Chidi Paani Behgaya

Maara Gaya Furaat Pa Saqqa Sakina Ka


Zainab Wo Mera Quwwat e Baazu Guzar Gaya

Abbas Qatl Kya Huwe Shabbir Margaya


Sun Sun Ke Sab Hussain Ki Guftaar Sakina

Lipti Pidar Se Aake Dilafgaar Sakina

Kehte The Shaah Ammu Ki Ghamqwhaar Sakina

Maare Gaye Darya Pa Alamdar Sakina


Kaisee Bataaun Unpa Mai Kya Kya Sitam Huwe

Darya Pa Tere Ammu Ke Shaane Qalam Huwe


Momin Bapaa Hae Maatam-E- Abbas-E- Qushqisaal

Zere Alam Hain Jamma Haram Khole Sar Ke Baal

Sar Peet-Te Hai Aal-E- Payambar Basad Malaal

Kehte The Shaah Ab Mera Jeena Huwa Mohaal


Shaane Kataake Sogaya Saqqa Taraai Me

Rassi Bandhegi Bint-E- Ali Ki Kalhaai Me.