jab kat gaye dariya pe alamdaar ke baazu
shaanou se juda hogaye jarrar ke baazu
reti pa gire shah ke ghamkhwaar ke baazu
tharraane lage syed-e-abraar ke baazu
rang udhgaya tasweer-e-alam hogaye shabbir
sadma ye hua zof se kham hogaye shabbir
girne lagaa jis dam alam-e-syed-e-waala
abbas ne jhuk kar ise gardan se sambhaala
ek teer lagaa chashm pe aur seene pe bhaala
bandh aankhe huvi mu se lahu sher ne dhala
ek gurz lagaa phir jo kisi aur shaqi ka
shaq hogaya sar hazrat-e-abbas-e-ali ka
kuch guzar garaan baar ka sadmaa nahin thoda
sar shaq huva phir mashk ko daanto se na chodaa
zeen se jo gire aap khadaa hogaya ghodaa
ek teer ne mashkize ko aur seene ko chedaa
paani jo bahaa eid huvi fouj-e-adu me
machli se tadapne lage abbas lahu me
nagaah ye aawaaz-e-ali dasht me aayi
shabbir qabar lo ke tasadduq huva bhai
chillayi ye zainab ke dohaayi hai dohaayi
hazrat ne kahaa lutt gayi baba ki kamaayi
tashreef shahe har do saraa laaye hai zainab
abbas ke laashe pe ali aaye hai zainab
yeh sunte hi hazrat ne amaame ko utaara
akbar se kaha kar do garebaa'n ko dopaara
aashiq mere bachhou ka zamaane se sidhaara
hum sog me hai qatl huva sher humaara
aafat me phasi paani ki mohtaaj sakina
bus hogayi duniya me yateem aaj sakina
farmaake ye girte huve doude shahe waala
sambhle kabhi khud kabhi akbar ne sambhaala
tha seena-e-aqdas me kalejaa taubaala
chillaati thi hai hai mere aaghosh ka paala
jaldi kabhi chalte kabhi phir badte the shabbir
ghabrake har ek laash pe gir padte the shabbir
kehte the uthaakar ye ali akbar-e-zeejaah
darya ki taraayi to abhi door hai ya shaah
farmaate the aankho me basaarat nahi aye maah
abbas-e-ali chod gaye ab to hume aah
ab khenchenge talwaar jo rastaa na milegaa
akbar hume kya bhai ka laasha na milegaa
hazrat ko sambhale huve darya pe jo laaye
abbas-e-alamdaar sisakte nazar aaye
akbar ne kate haath tadapte huve paaye
bhai ko khuda bhai ka laasha na dikhaaye
jhukne jo lage kaampke ghash kargaye shabbir
sabit ali akbar pe huva margaye shabbir
hai hai shahe dee'n kehke jo roye ali akbar
sadme se tadapne lage abbas-e-dilaawar
ghabraake bhatije se kaha aye mere dilbar
batlaado kidhar hai mere aaqa mere sarwar
akbar ne kahaa gham shahe waala ko bade hai
woh aapke qadmou ki taraf ghash me pade hai
gash me ye suqan sunke pukaare shahe zeesha'n
ye kiski sadaa hai mai is aawaaz ke qurbaa'n
akbar ne kahaa kab se tadapte hai chachajaa'n
mil lijiye ke abbas koi dum ke hain mehmaan
phir ho na sakaa zabt imam-e-azali se
lipte shahe deen laasha-e-abbas-e-ali se
chillaaye basad gham mere bhai mere bhai
kya dil ka hai aalam mere bhai mere bhai kyu chashm hai purnam mere bhai mere bhai
ukhdaa hai tera dum mere bhai mere bhai
seene m ajal saans teharne nahi deti
hichki tumhe kuch baat bhi karne nahi deti
ye kehte hi hazrat pe qayaamat huvi taari
abbas-e-alamdaar karaaye kayi baari
atkaa jo dum aankho me to aansoo huve jaari
tan rehgaya aur rooh sue khuld sidhaari
chillaake jo sheh roye to ghabraayi sakina
nikla tha dum unka ke nikal aayi sakina
mayyat se lipat ne ko jo wo doudti aayi
hazrat ne abaa bhai ke chehre se hataayi
chillaayi sakina ke dohaayi hai dohaayi
reti me alamdaar ne shakl apni chupaayi
tharraane lagaa laasha-e-saqqa-e-sakina
laashe se bhi aayi yeh sadaa haaye sakina