jab sadr-e- zee'n se gir pade abbas-e- baawafaa
jangal se aayi girya-e- zehra ki bhi sadaa
akbar ne doudh kar shah-e- waala se ye kahaa
chaliye huzoor neher pa maare gaye chacha
be dast dushmanou'n ne kiya is diler ko
ro aaiye taraayi me hyder ke sher ko
ye sun ke peet'te huwe utthe zamee'n se shaah
farmaaya hai ghazab mere bacche huwe tabaah
ye kya kaha ke aankhou'n me din hogaya siyaah
mazloom se bichad gaye abbas aah aah
muddat huwi tamaam sakina ke chain ki
toda falak ne aaj kamar ko hussain ki
ye kehke soo-e- naher chale shaah-e- karbala
maanind-e- baid kaanpte the sheh ke dast-o- paa
ammama tha na farq pa ne dosh par ridaa
tasveer waar the hamathan sibte mustafa
maqtal ki qaak se tan-e- anwar ata huwaa
seena khula huwa tha garebaa'n phata huwa
pahonche ju hi taraai me baadeeda-e- pur aab
dekha tapaa'n hai qaak pa farzand-e- buturaab
shaanou'n pa ki nazar to jigar me rahi na taab
bas haaye bhaai kehke giraa wo falak janaab
bekaar dast-o-paa the shah-e qushqisaal ke
le aaye laash tak ali akbar sambhaal ke
mu rakh ke qoo'n bhare huwe chehre pa di sadaa
bhaiyya hussain aaya hai aawaaz do zaraa
haye haath dono haath badan se huwe judaa
baazu ke sadqe un tere shaanou'n ke mai fidaa
bhaiyya hamaare haath to bekaar hogaye
tum haath khoke jaafar-e- tayyar hogaye
sunkar sadaa-e- hazrate shabbir-e- naamdaar
khola lahu bhari huwi aankhou'n ko ek baar
sar rakh ke paa-e- shah pa ye bola wo zee wiqaar
tashreef aap laaye zah-e- izz-o- ifteqaar
jee chaahta hai ye ke nisaar-e- huzoor hoo'n
kis tarha uth ke gird phiroo'n choor choor hoo'n
baithe hai aap aur mai letaa hu aah aah
kya dour hai huzoor agar baqsh de'n gunaah
sar shaq hai zarb-e-gurz se ya shaah-e-dee'n panaah
karwat bhi ab to le nahi sakta hai qair qwaah
dukhte hai bolne me jarahath phate huwe
dekhe'n huzoor mere hai baazu kate huwe
mu rakh ke mu pa kahne lage shaah-e- qushqisaal
abbas mai kin aankhou'n se dekhu tera ye haal
is dam bhi hai tumhe mere aadaab ka qayaal
jab zib'ha honge hum to kise hoyega malaal
sadqe hussain tere tan-e- paash paash ke
ek baar hamko gird to phirne do laash ke
ye sun ke us diler ne ek sard aah ki
mashkize pe tadap ke ba hasrath nigaah ki
mu sharm se chupaa liya godi me shaah ki
haalat tabaah ho gayi hyder ke maah ki
jab dil ko bekali ho to kis tarha kal pade
zaanu pa sheh ke aankhou'n se aansu nikal pade
farmaya sheh ne kis liye rote ho zaar zaar
lo ab kuch apna haal kaho tum pa mai nisaar
kya ji pa hai bani jo tadapte ho baar baar ki arz is jari ne ke hai waqt-e- iqtezaar
aaqa se chootne ka qalaq hai ghulaam ko
paaunga ab kahaa'n shah-e- gardou'n maqaam ko
ye kehte the ke phirgayi aankhou'n ki putliyaa'n
hichki ke saath aagayi sookhe labou'n pa jaa'n
hasrat se dekhkar taraf-e- shaah-e- inso-o- jaa'n
dunya se kooch kargaye abbas-e- noujawaa'n
chodha jari ne saath shah-e- mashraqain ka
ek ghul uthaa ke margaya aashiq hussain ka
chillati hai ye zouja-e- abbas-e- naamwar
chodo mujhe qudaa ke liye peetne do sar
waaris mera guzar gaya loota ajal ne ghar
hae hae yateem hogaye dono mere pisar
pardes me ali ke pisar se bichad gayi
ab khaak udaane do ke meri maang ujad gayi