jab zainab-e- ghareeb ke ran me pisar lade
tanha lade ye, aah wo sab ahl-e- shar lade
kis khoobsurti se ali ke jigar lade
ek shor padgaya ke ghazab sher-e- nar lade
wirsa unhe mila hai janab-e- ameer ka
ye zor sab hai sher ki beti ke sher ka
zainab jo nange paau'n khadi thi qarib -e- dar
abbas jaake dete the ye dam badam qabar
ro-e na ab huzoor mohim hochuki hai sar
laakho'n se lad rahe hai ghazab aapke pisar
zor aaj phir dikha diya qaibar kushai ka
ab to unhi ke haath hai maida'n laddai ka
aansu baha ke bint-e- ali ne kaha ke haa'n
de aur himmate'n unhe qallaaqe- ins-o- jaa'n
bachhe kaha'n, hazaro ka wo maareka kaha'n
kuch ho unhe falak ne, na hone diya jawaa'n
bekas hoo'n aur us pa mujhe etemaad hai
qaaleq wo de ke jo mere dil ki murad hai
bhaiyya kuch apne beto'n ka mujh ko nahi qayaal
marjaye ladke ya ke ho taapo'n se paayemaal
sadqe karoo'n hazaar jo aise ho nounehaal
sab doulate lute, pa bache fatima ka laal
aaye behen pa wo jo balaa unpa aayi ho
dunya me koi ho ke na ho mera bhaai ho
ye zikr tha ke bhaai ko hazrat ne di sadaa
abbas aao ghir gaye zainab ke dilruba
doudhe sadaa ye sunte hi abbas-e- bawafaa
asnaa-e- raah me ali akbar ne ye kaha
zinda rakha falak ne ye aansu bahane ko
chaliye huzoor jaate hai laashe uthaane ko
pyaari bahen ke beto'n ka dekha jo sheh ne haal
tan chaak chaak hai gule sad barg ki misaal
uljhe hai pech khaye huwe gesu'o ke baal
oode hai hont chand se chehre lahu se laal
mathe hai shaq saro'n se amaame bhi door hai
sab choti choti phasliya tegho'u se choor hai
chillaye gardano'n ke tale haath deke sha
mu se milao mu ke mera haal hai tabah
aakho me dam tha bolte kyu kar wo rashke maa
rote the nabz dekhke abbase arsh jaa
dunya se kooch karte the bachhe pale huwe
haathou me the hussain ke manke dhale huwe
kuch kuch abhi tha dam ke unhe le chale imaam
ek laash ko to aap liye the shah-e- anaam aur ek laash hazrate abbas-e- nek naam
qaima tha saamne ke biza-at huwi tamaam
jeete na pahonche haaye ghazab qaimagaah me
dono sagheer margaye asnaa-e- raah me
chillaye roke hazrate abbas-e- naamwar
chota tamaam hogaya ya shah-e- bahrobar
hazrat pukaare haath kaleje pa maar kar
hai hai bada bhi mar gaya veera'n huwa ye ghar
maa muntazar hai chaak garebaa'n kiye huwe
kis mu se jaau'n qaime me laashe liye huwe
zainab ke dil ko hogayi waa'n qud baqud qabar
jaa baithi aap matame saf par jhuka ke sar
laaye hussain dono ke laashe lahu me tar
farmaya haaye lut gaya bekas bahan ka ghar
do qanjar ek baar kaleje pa chal gaye
aaye the tum se milne ko par dam nikal gaye