dozaq se jab aazad kiya hurr ko quda ne
khul-wa diye firdous ke dar uqda kusha ne
zaanu pa rakha sar ko imam-e- dosara ne
aala kiya adna ko buzurgou ki duaa ne
sab jiske talabgaar the jannat me wo dar tha
hooran-e- jinaa'n gird thi aur beech me hurr tha
jab de chuke sab ghair azeezo ki tarha sar
bejaa huwe do el-chi shaah ke dilbar
marne pe kamar baandh-te the qasim-e be par
kehti thi jhukaaye huwe sar shah ki qaahar
hai saqt ajab dono ki daanayi se mujh ko
in beto'n ne mehboob kiya bhai se mujh ko
ye zikr abhi tha ke sada rone ki aayi
darwaze se akbar ne ye awaaz sunaayi
looti gayi hai hai phupi amma ki kamaayi
maare gaye do saath ke khele huwe bhaayi
rote huwe abbas bhi hamraah gaye hai
qud laashe uthane ke liye shaah gaye hai
fizza ki sada aayi ke aye peetne walo
sab milke are meri quzaadi ko sambhalo
roti hai kidhar bano-e- aalam ko bulalao
loota gaya ghar qaak-e- azaa balo'n pa daalo
maqtal se hussain ibn-e-ali laate hai laashe
saidaaniyo dyodhi pa chalo aate hai laashe
lasho'n ko shahedee'n saf-e-matam pa jo laaye
sab ahl-e- haram peet-te rote huwe aaye
zainab ne na faryaad ki ne ashk bahaaye
baithi rahi sar zaanu-e- aqdas pa jhukaaye
lab qushk the mu faq tha, miza ashko'n se tar thi
ne apne na bhai ki na lasho'n ki qabar thi
bano ne rakhe zaano-e- zainab pa sar unke
jo bibiyaa'n thi aagaye mu ko jigar unke
zainab ne jo ki jhuk ke ruqo'n pe nazar unke
dikhlaayi diye chand se mu qoo'n me tar unke
ruqsaar bhi majrooh the, abru bhi kate the
shane bhi juda chand se baazu bhi kate the
mu chaatiyo'n pe rakh ke wo nashaad pukari
aaram me ho ya hai ghashi pyas se taari
hota hai bayaa'n shoukato himmat ka tumhari
tasleem karo qibla-e-kounain ko wari
samjhi mai ke ba'as hai ye bedariye shab ka
pyaro ye tareeqa nahi arbabe adab ka
tareef imama-e- dosara karte hai uttho
abbas-e- alamdar sana karte hai uttho
hamshakle nabi mad'he vegha karte hai uttho
sab log na uthne ka gila karte hai uttho
aaqa se musibat me juda ho nahi jaate
sadqe gayi yu jung ke din so nahi jaate
pyaro tum akele kabhi nikle nahi ghar se
raste se na waqif na sobat-e- safar se
raahe'n wo ke qaali nahi jo qouf-o-qatar se
jo qaasa-e- baari hai wo tharrate hain dar se
is qouf se rato'n ko na sote the mohammed
jab mout ka zikr aata tha rote the mohammed
hai hai wahi rasta tumhe darpesh hai pyaro
tum mard ho jarrar ho himmat ko na haaro
ab aankhou se chhup jaaoge aye arsh ke taaro
baccho mujhe manzil ka pata deke sidharo
virane me ya gulshane hasti me rahoge
tum aajki shab kounsi basti me rahoge
taariki me vaari tumhe neend aayegi kyu'n kar
shab hogi to bachou ko ye maa paayegi kyu'n kar
maadar dil-e- betaab ko samjhayegi kyu'n kar
waa'n tak mere rone ki sada jaayegi kyu'n kar
nikloo'n jo tajassus me to bejaa nahi waari
maa hoo'n mera pathar ka kaleja nahi waari
maqtal me qiyaam aaj kaha'n hoga batado
maa sadqe muqaam aaj kaha'n hoga batado
din tumko tamaam aaj kaha'n hoga batado
bistar sar-e- sham aaj kaha'n hoga batado
hamwaar zamee'n shab ke bichone ko milegi
kaisi hai jagah jo tumhe sone ko milegi
hamraah na takiya hai na raahat ka bichona
do bhai ho tum ek jagah raat ko sona
maloom hai chote ka tumhe chounk ke rona
sadqe gayi ghaafil mere bachhe se na hona
be maa ke sehar rone me hojati thi usko
pehlu mera milta tha to neend aati thi usko
tukde tha kaleja ye bayaa'n dard ke sun kar
ek hashr tha saidaniyaa'n jab peet-ti thi sar
bano ne kaha qibla-e- kounain se uth kar
marjaayegi maa lashou'n ko le jaiye bahar
farzandou'n ka gham qaaleqe aalam na dikhaye'n
allah kisi maa ko ye maatam na dikhaye'n