Ummat pe pisar apne fida karti hai Zainab, Seene se dil o jaa'n ko juda karti hai Zainab, Chut'te hain pisar shukre Khuda karti hai Zainab, Jo sabr ka haq hai wo ada karti hai Zainab
Ghodou'n pe jo wo dono pur armaan chade hain, Maa kehti hai bete mere parwan chade hain.
Sheh kehte hain humsheer ye kya karti hai dekho, Akber ko mere bhejo unhe ran me na bhejo, Wo kehti hai sadqe gayi tum isme na bolo, Zainab ne isi din ke liye paala tha inko.
Tum to inhe ran me nahi bhijwate ho bhai, Phir kis liye humsheer se sharmate ho bhai.
Bhijwane ka Akber ke na tum naam lo Bhaiyya, Akber ki bala inko lage wo rahe jeeta, Awwal to wo humshakle Nabi husn mein yekta, Aur dusre Zainab ko hai sehre ki tamanna.
Asaan mujhe betou ka daagh aye Shahe dee'n hai, Inme koi atthara baras ka toh nahi hai.
Lashkar ki safe'n cheer ke Dariya pe chale aaye, Lehrate huwe dekh ke pani ko kaha jaye, Kyu mashk Sakina ki na kandhe pe utha laye, Kisse kahe jo mashk hume qaime se de jaye.
Hatif ne nida di ke abas ranjo qalaq hai, Saqqayi Sakina ki to Abbas ka haq hai.
Zainab ne dare qaime se maida'n ko jo dekha, Paya na kahi betou ko ghabrayi wo dukhiya, Fizza se kaha bete mere qaid hue kya, Woh boli ke kuch sunti ho kya kehte hai adaa.
Lashkar ki safe'n cheer ke do roz ke pyase
Dariya pe gaye Saqiye Kausar ke nawase.
Zainab ne kaha kyu gaye Dariya pe gharaz kya, Pee lenge jo pani toh ghazab aur bhi hoga, Bhai hai mera teen shabo roz ka pyasa, Fizza unhe awaaz de ye dhiyan hai beja'n
Ek boond bhi pani ki kare nosh to sam hai, Ek dhaar na mai doodh ki baqshungi qasam hai.
Gar peeliya pani to bas ab ghar me na aaye'n, Ab shakl bhi mujhko na dikhaye'n na dikhaye'n, Ab sar bhi mere bhai ki qatir na kataye'n, Rahat ke awaz inse ye sadme hum uthaye'n.
Mar jayenge to god me lashou ko na lungi, Mamu une royenge to mai rone na dungi.
Fizza hui qaime se rawa'n janibe maida'n, Kya dekhti hai neher pe hai fouje farawa'n, Zainab ke jigar goshou pe hai teerou ka baraa'n, Nagah hua shor ke mushkil hui asaa'n.
Lo jan o dile duqtare Zehra gaye maare, Do roz ke pyase labe Dariya gaye mare.