Umme kulsoom qwaahar e zainab
Zindagi bhar sahi tu ranj o ta'ab
Guzre rone me tere roz o shab
Margayi gham utha ke haye ghazab
Ab ali o batool rote hai
Peet kar sar rasool rote hai
Bhai ko roz o shab jo roti thi
Muh ko ashkou se apne dhoti thi
Gham se fursat jise na hoti thi
Jaan ro ro ke apni khoti thi
Wo jaha'n se guzar gayi hai hai
Umme kulsoom margayi hai hai
Yaad aate hai tere gham bibi
Wo aseeri wo qaid ki saqti
Tujh pe yu rash ghamo alam ki thi
Uf wo rudaad be ridaayi ki
Tujhko jab se ghame hussain mila
Ek pal bhi tujhe na chain mila
Qaid se chut ke jab watan aayi
Sath bhai ka apne gham laayi
Zabt karne na paayi dukh paayi
Dekha jis dam madina chillayi
Gham pe gham hum utha ke aaye hai
Saare ghar ko luta ke aaye hai
Aye madine hame qubool na kar
Kat gaya tegh se hussain ka sar
Chin gayi thi sarou se bhi chadar
Wapas aate hai phir ke hum dar dar
Marte dam tak ye gham uthaana hai
Aisa aana bhi koi aana hai
Ham museebat utha ke aaye hai
Qaid qaane me jaake aaye hai
Bhai bete gawaa ke aaye hai
Qabr sheh ki banake aaye hai
Sath bete hai aur na waali hai
Godiya bibiyo ki qaali hai
Bain tu ne kiye jo zaar o qataar
Gham se dil hogaye sabhi ke figaar
Daagh the tere ek dil pe hazaar
Kitni pur dard thi wo teri pukaar
Qoo'n rulata hai marsiya tera
Gham se dil choor choor tha tera
Haye kaisi ulat gayi taqdeer
Gayi darbaar me tu ho ke aseer
Aaqri saans tak rahi dilgeer
Umme kulsoom qaahare shabbir
Karbala jab bhi yaad aati hai
Yaad hum ko teri rulaati hai
Sare baazaar sar khule jaana
Durre zalim ke pusht par khana
Yaad abbas ko wo farmana
Tera darbaare sham me jaana
Qatm har ek jafa huwi tujh par
Zulm ki inteha huwi tujh par