Kanz e Aza

Ummul baneen madare abbase zi wiqaar

A marsiya for Ummul Baneen (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Ummul baneen maadare abbase zi weqaar

Rehlat pe teri aale mohammed hai ashkbaar

Mazloomiyat pe teri hai sab ke jigar figaar

Sajjad kar rahe hai yahi bain baar baar


Sadme uthaa utha ke jahaa'n se guzar gayi

Peeto sarou ko maadare abbas margayi


Baade batool tu ne sambhala ali ka ghar

Bachou pe fatima ke shafaqat se ki nazar

Kulsoom se rahi nahi ek pal bhi be qabar

Mashghool thi jo qidmat e zainab me sar basar


Wo jaa'n nisaar e zainab e bepar nahi rahi

Wo sogwaar e sibte payambar nahi rahi


Sar par ali ke zaqm laga jiske saamne

Tukde jigar hassan ka huwa jiske saamne

Shabbir se madina chuta jiske saamne

Ghar fatima ka loota gaya jiske saamne


Roti rahi jo fatima ke noore ain par

Jis ne nisar kar diye bete hussain par


Jis dam safar madine se shabbir ne kiya

Bibi ne chaar betou ko bhi sath kar diya

Abbas e naamdaar se phir roke ye kaha

Shabbir ko hisaar me apne rakho sada


Baandho kamar hifazat e sibte rasool par

Aane na paaye dhoop bhi jaan e batool par


Gar koi zaqm aayega jism e rasool par

Mai muh dikha sakoongi na zehra ko ek nazar

Zainab se aur hussain se ghaafil huwe agar

Baqshungi mai na doodh ye sun lo mere pisar


Chidne se pehle mashk ke shaane kataao tum

Gar mashk chid gayi to palat kar na aao tum


Jab karbala se sheh ki sawaari chali gayi

Weeraa'n madina hogaya sughra ujad gayi

Sughra ke paas reh gayi ummul baneen bhi

Beemar e gham ke jeene ki umeed jo na thi


Pesh e nazar jo haq e imaame anaam tha

Ummul banee'n ko qidmat e sughra se kaam tha


Jab lut ke aaya qafila e shaahe tashnakaam

Us waqt ye shabbir se kehne lage imaam

Jaakar madine me ye qabar kar ba ehtemaam

Aaye hai qaidi shaam se chutkar haram tamam


Karbobala me lut gaya sab ghar imaam ka

Sar kat gaya hussain alaihissalaam ka


Jis dam sunaani aake sunayi basheer ne

Cheda dilou ko barchi ne gardan ko teer ne

Girya kiya har ek sagheer o kabeer ne

Pucha ye aake zouj e janabe ameer ne


Jab qatl fatima ke pisar ka huwa bata

Abbas mera zinda tha us waqt kya bata


Rokar basheer kehne laga tab ba shor o shain

Abbas pehle qatl huwe baad me hussain

Kaata hai shimr ne sar e sultaane mashraqain

Loota hai zalimo ne dil e fatima ka chain


Ghazi ke baad lut gaya sab ghar batool ka

Haami koi raha nahi sibte rasool ka


Ummul banee'n ka marsiya is dam padho hassan

Aansoo bahao ankhou se matam karo hassan

Ghar fatima ka lut gaya ro kar kaho hassan

Pursa do maa ko hazrate abbas ka hassan


Ummul banee'n ke gham me sabhi sogwaar hai

Marqad me apne phir se ali beqarar hai