warid huwi naagaah shab-e zarbat-e hyder
bas kholte hi roza kamar baandhi ajal par
us shab the kabhi sahen me geh hujre ke andar
ham saaya ko har baar nidaa dete the rokar
hyder ki sawari sooe firdous chali hai
jaago ye shab-e qadr, shab-e qatl-e ali hai
wallah mai do raato ka mehmaa'n hu’n tumhaara
tar dekhoge kal qoon se resh-e rukh-e zebaa’n
barsega lahoo teen din aflaak se har jaa
aye sahebo is saal ali hajj me na hogaa
tum eid ke din ro-oge shabbar se lipat kar
royega hassan baap ke mimbar se lipat kar
kulsum ne rokar kaha wa hasrato darda
kya betiya ab sabr kare aap ko baba
kis tarha yaqee'n tum ko huwa apni ajal ka
farmaya jo irshaad-e payambar hai wo hoga
do roz hai dunya me bas ab kooch hamaara
ek-kisvi(21) ko uthega taaboot hamaara
har ghar me sada hoyegi kal haye ali ki
kal roti huwi aayegi yaa rooh nabi ki
haalat mere gham me na bajaa hogi kisi ki
kal aayegi yaa'n laash payambar ke wasi ki
kal shia bhi sar kholenge aur ahle haram bhi
zehra ki sada aayi kafan phaadenge ham bhi
zainab se rivayat hai ke thi chaar-ghadi raat
mushtaaq-e-qazaa ghar se chale syed-e qush zaat
tasbeeh bakaff jamma huwe deodi pa saadaath
waa'n sheh ne azaa'n di, yaha ki sab ne munajaat
guldasta ho hyder se sar afraaz hamesha
ya rab rahe dunya me ye aawaz hamesha
phir baad-e azaa'n kaan me aawaaz ye aayi
aye shiyo ali qatl huwe haq ki duhaayi
is nouhe se aagah huvi saari qudaayi
chehrou pa nabi zaadiyou ne qaak udaayi
jannat se nabi phaad ke daamaan-e kafan aaye
sar peet-te masjid me hussain aur hassan aaye
baba ka lahu pehle to chehro'n pa lagaya phir dono ne ma baine gileem unko uthaya
lekar jo chale rona ali ko bahot aaya
shabbir ne poocha to ye hyder ne sunaya
ronaa ye hai jab halq tu katwaayega pyaare
koi tera laasha na utha-laayega pyaare