imaa'n ki jaan kya hai mohabbat ali ki hai
raahat jo qabr ki hai wo ulfat ali ki hai
saail bakaf hai sab wo saqaawat ali ki hai
qaatil ko di amaa'n wo murawwat ali ki hai
aadil ho, peshwa ho, madaarul mahaam ho
gar ho nabi ke baad to aisa imam ho
sadqe ghulam teri musibat ke ya ali
aye jaanashi'n janabe risalat ke ya ali
qurbaa'n lahu bhari teri surat ke ya ali
ayyam hai ye teri shahadat ke ya ali
ye zulm be jehat ye sitam be sabab huwa
talwar tere sar pa lagi kya ghazab huwa
unniswi'n(19) se aapka maatam hai ya ali
qoo'n hogaye dilo'n ka ye aalam hai ya ali
daftar jaha'n ka darham-o-barham hai ya ali
maahe siyam maahe muharram hai ya ali
moula ki nazr ko gohar-e ashk laaye hai
ye rozedaar aapke purse ko aaye hai
moula shigaafta huwa sajde me sar tera
syed tabah hogaya kufe me ghar tera
sarwar alam dilo'n ko hai shaam-o- sahar tera
aaqa inhi dino'n me huwa tha safar tera
aalam se be qabar the quzu-o qushu me
talwar jab lagi thi jhuke the ruku me
ghar me quda ke qatl hua rozedaar haaye
hai hai imaam haaye shahe zulfeqaar haaye
aye qaana zaad haq shahe taa'at guzaar haaye
moulud haram me hai to najaf me mazaar haaye
ye bandagi nisaare janaabe ameer ke
nikle to ghar se mar ke quda e qadeer ke
laaya tha zehar me wo jafa joo bujha ke tegh
moula gire zameen pa sajde me khake tegh
ghul padhgaya ke sar pa lagi murtaza ke tegh
khaayi quda ke sher ne ghar me quda ke tegh
gehra hai zaqm farqe imame hijaaz par
sar se tapak raha hai lahu jaa-namaz par
shera khuda jo haato'n se thaame the apna sar
qoo'n dono kohniyo'n se tapakta tha qaak par
bhaaga jo ibn-e muljim-e maloon-o bad siyar
pakda use ali ke muhibbo'n ne doud kar
laaye jo haath baandh ke moula ke saamne
qaatil pa muskura ke nazar ki imaam ne
farmaya mai ne kounsi ki thi teri qataa
paadaash nekiyo'n ki yahi hai jaha'n me kya
kya mai bura imaam tha aye baniye jafaa
roya jo sar jhuka ke to moula ne ye kaha
is dard me bhi sab ke maraz ki dawa hai ham
baandho na iske haath ke mushkil kusha hai ham
dono shabe'n ali ko tadapte huwi basar
lete the is taraf kabhi karwat kabhi udhar
rokar dabaate pau'n jo shabbir-e- naamwar
reh jaate the imaam-e- do alam hilake sar
rudaad thi nazar me mujassam hussain ki
awaaz sun ke rote the zainab ke bain ki
jab bees-wi ka din bhi tadapkar huwa tamaam
ummul banee'n se chounk ke kehne lage imaam
do din se aah sab mere bache hai be ta-aam
faaqe me in-pe guzregi kya aaj ki bhi shaam
accha hu ab to mai ye abas be qaraar hai
khana inhe khilao ke sab rozedaar hai
bole hussain baap se haato'n ko jod kar
sab khaae'n phir jo aap tanaawul kare'n agar
farmaya rizq uth gaya majboor hai pidar
paani bhi ab gale se utarta nahi pisar
daawat ali ki aaj hai ghar me ilaah ke
roza khulega saath risalat panah ke
chup hogaye ye kehke shahinshah-e kaayenat
samjhe ye sab ke ghash me hai shah-e- nik-o sifaat
jis waqt baaqi rehgayi kuch kam ghadi wo raat
teghe ajal ne qata kiya rishta-e- hayaat
tadka tha noor ka ke safar kar gaye ali
sab shia be imaam huwe mar gaye ali