jab daaghe bekasi na sakina uthaa saki aur dard-e dil na qouf ke maare sunaa saki
khaaye tamaache shimr ke jab tak ke khaa saki
sin kam tha dukh bohat the na bardaasht laa saki
royi to zalimo'n ne jafaa beshumaar ki
aaqir ye jabr dekh ke mout iqtiyaar ki
gar aah ki to shimr pukaara qamoosh ho aur chup huwi to bepidari ne kaha ke ro
geh shiddat-e atash se pukaari ke paani do
geh yaad karke reh gayi baba ki pyaas ko
soyi jo aansu ponch ke chashm-e pur aab se
hae hae hussain kehke phir uth baithi qaab se
dil me samaa gaya tha jo shimr-e laee'n ka dar
sone me kaanp kaanp ye kehti thi raat bhar
faryaad cheenta hai gohar shimr-e bad guhar
aata hai ibn-e saad chupoo'n jaake mai kidhar
zainab phupi sambhaalo kaleja dhadakta hai
sajjad bhaai dekho ye qooli ghurakta hai
jab pyaas lagti roke chacha ko pukaarti
dukhte jo kaan shaah-e huda ko pukaarti
aata na jab koi to khuda ko pukaarti
jeene se tang hoke qazaa ko pukaarti
kehti thi ne chacha na imaam-e umam rahe
rulwaane ko adu rahe rone ko ham rahe
chup thi, to chup thi, bolti jo thi dari hui
waa'n shimr aaya tan me idhar thar thari hui
thi aah baat baat ye lab par dhari hui
gardan ki reesmaan lahu me bhari hui
dam rukne lagta tha to rasan khol lete the
baahar jo shimr bolta to baandh lete the
haale shabe wafaat e sakina hai yaadgaar
goya ke apni marg thi bekas pe aashkaar
milti thi shaam se wo gale sab ke baar baar
maa ki balaaye leti thi wo maa ki ghamgusaar
tasleem ko phupi ki kabhi sar jhukaati thi
thi beqata pa sab se qata baqshwaati thi
kubra se chup ke chup ke kabhi karti thi bayaa'n
kal ek jaga mai jaaungi is ghar se mehmaaa'n
ro kar wo puchti thi kaho to kaha'n kaha'n
darwaaze me to qufl hai gardan me reesmaa'n
ye kehti thi ke qufl laga hai to kya hua
zindaa'n hai bandh rouza e rizwa'n khula hua
zindaa'n se kehti thi ye kabhi wo aseere gham
ho jaayega kal ek tera mehmaan kam
mayyat kisi ki nanhi si niklegi subha dam
bano se ye qitaab kabhi tha ba chasme nam
ek taaza mout hogi nabi ke gharaane me
amma lutogi aaj ki shab qaid qaane me
bano pukaari lut to chuki ab lutogi kya
bibi na naam lutne ka lo tum pe mai fida
gouhar chine tamaache lage kaan shaq hua
lutne se meri bibi ka par dil nahi bhara
zainab ki pusht noke sinaa'n se figaar hai par meri pyari lutne ki umeed waar hai
ab kya lutogi maal nahi zar nahi raha
akbar nahi raha ali asghar nahi raha
rehne ko qaid qaana mila ghar nahi raha
haatho'n me reesma bandhi zewar nahi raha
doulat hai kounsi jise zindaa'n me khoungi
rona tha jisko ro chuki ab kisko roungi
kubra hai aur tum ho ye sajjad e naatawa'n
gar ye bache to naam hai warna hai be nisha'n
wo boli sab rahenge salaamat pa ham kaha'n
maa ne kaha quda na kare aye sakina jaa'n ki arz dekh logi jo pichli ko hoyega
baba ki rone wali ko sab kunba royega
ab mout meri sab ko mubarak kare quda
marte hi mere qaid se sab kunba ho rehaa
jaata rahe buqaar baradar ka bedawaa
jannat ko ham rawaa'n ho'n madine ko aqrobaa
ghul ho sakina leke bala sab ki margayi
hyder ki pothi mushkilen aasan kar gayi