Jab karbala se lut ke watan ko haram phire
Garebaa'n siyaah posh basad ranj o gham phire
Ek dusre se kehte huwe ye baham phire
Yu lout kar na aaye koi jaise ham phire
Hujrou me sab to ashkou se daaman bhigoti hai Lekin rabab sehan hi me baithi roti hai
Jab baithe baithe dhoop me arsa guzar gaya
Haalat qarab hogayi chehre ka rang udhaa
Zainab ne ek din aake bade dard se kaha
Hujre me chaliye bhaabi ye hai hukm imaam ka
Saaye me ab bahaal kuch ousaan keejiye
Yu dhoop me naa jaan ko halkaan keejiye
Jab sab ba zid huwe to ye kehne lagi rabaab
Waada kiya hai ru baroo e ibne buturaab
Saaye me ab naa baithungi aye aasmaa'n janaab
Kis dil se laau waada qilaafi ki ab mai taab
Kya ye sunu mai fatima ke noor e ain se
Waada wafa na kar saki baano hussain se
Jab dhoop se uthi na rabaab e jigar figaar
Samjha ke le chale unhe sajjad e naamdaar
Muh kar ke karbala ki taraf royi zaar zaar
Boli ke waada aap se tha hu mai sharmsaar
Majboor kar diya mujhe hukm e imaam ne
Rakh leeje aabru meri in sab ke saamne
Ye kehte kehte hichki lagi dam nikal
gaya
Sajjad bole amma ne waada wafa kiya
Zainab ne roke sibte payambar ko di sada
Aasaan kar de meri bhi mushkil pa'e quda
Mere bulaane me bhi na taaqeer ab karo
Akbar ka waasta mujhe jaldi talab karo
Zainab ki is fughaa'n pe qayamat ka tha samaa'n
Thi bibiyaa'n Rabaab ki qismat pe nouha qaa'n Aur sar jhukaaye baithe the sajjad e natawa'n
Aayi sada e sayyada kaanou me naagahaa'n
Marqad me apni aaj ye soyegi chain se
Mai sadqe isne qoob nibaahi hussain se