kehti thi ran me aake sakina jawaab do
jaan-e nabi-o faatema zehra jawaab do kyu so rahe ho qaak pa tanha jawaab do
aayi hu tumko dhoondh ne is jaa jawaab do
marti hoo'n gham se mere masiha jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
zaqmi huwe hai kaan mere chingaye gohar
kis se kahoo'n ke zaqmo'n me hai dard peshtar
faryaad tumse karne mai aayi hoo'n aye pidar
hai qaabil-e mulaaheza ye haal sar basar
dekho ye qoo'n bhara huwa kurta jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
qaidi banaake shaam ko le jaate hai hame
pursaa'n nahi hai koi ke kuch us se ham kahe'n
faryaad ghamzado'n ki na hazrat bhi gar sune'n
kab tak in aafato'n me rahe'n aah kya kare'n
kya keh rahi hoo'n syed-e waala jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
be gor kyu pade hai tumhaare rafeeq sab
laasha ye jalti ret pa mai dekhti hu jab
hota hai mere dil pa do baala ghamo ta'ab
dafnata inko koi nahi is ka kya sabab kyu bekafan har ek ka hai laasha jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
aati hai daadi jaan ki aawaaz yaa'n suno
kis dard se pukarti hai baba jaa'n suno
karti hai kaise ranj-o alam ke bayaa'n suno
kya so rahe ho binte nabi ki fughaa'n suno
kis minnatou se kehti hai zehra jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
aye jaane faatema o payambar utho utho
aye noor-e ain-e faateh-e khaibar utho utho
dekho aseer hogayi qaahar utho utho
chilla rahi hai aap ki duqtar utho utho
kya so rahe ho beti ke shaida jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
pooche jo mujh se fatima soughra to kya kahu
pyaase shaheed hogaye baba bayaa'n karu
akbar ka mai ne dekha hai laasha bayaa'n karu
asghar ka sar bhi naize pa dekha bayaa'n karu
kya keh ke usko doo'n mai dilaasa jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do
rote the aap mai jo kabhi karti thi fughaa'n
samjha ke leke god me karte the yu bayaa'n
qurbaan tere aankho'n ke aansu na kar rawaa'n
ab mera rona aur ye gham khaana baba jaa'n kyu aapko huwa hai gawaara jawaab do
baba jawaab do mere baba jawaab do