kis umr me ali un naqi be pidar huwe
bachpan me dil pe chot lagi nouhagar huwe
yasrab me jaanasheen-e shahe behrobar huwe
ye waaris-e bizaa-ate qairul bashar huwe
ilm-o amal ko maan liya sheq-o shaab ne
kya kamsini me paayi buzurgi janaab ne
charqe neham imaam-e deham ka maqaam hai
pushto panaah arsh-e baree'n inka naam hai
har chaar simt mad'ha o sanaa-e imaam hai
tasbeeh sash jahat ki durood-o salaam hai
naari hai jo kahe ke ye noore quda nahi
anwaar qamsaa-e najbaa se judaa nahi
aye door-e charq-e raah ye kaisa hai intezaam
qaamosh kyu'n rahoo'n ke shikaayat ka hai maqaam
rehne na paaye chain se is tarha se imaam
qayam maqaam iske huve dushmane imaam
farzand par rasool ke ummat jafaa kare
pursaa na jab koi ho to mazloom kya kare
tayyar qatl par mutawakkil raha madaam
majboor rehgaya wo adu-e shah-e anaam
pahoncha safar me chod ke ye kaarina tamaam
qaayam maqaam uske huwe dushman-e imaam
fursat mili na dilbare sher-e ilaah ko
tadbeer motemad se mila zehr shaah ko
wo qalq ka maseeh huwa saheb e firaash
be hiss tha jism farsh pe goya padi thi laash
kunj-e lahad ki gosha nashee'n ko huwi talaash
suraaq dil me tha toh kaleja tha paash paash
aate the haal dekhne baashinde shehar ke
pota raza ka marta tha sadme se zaher ke
raavi bahut se haashmi is ke hai la kalaam
jin me hai ek ka hasan ibn-e hussain naam
aaya jo roz rehlat-e shaahe falak maqaam
sehne makaa'n me farsh pe the jalwagar imaam
majma bahut tha syed-e zeejaah ke qareeb
mardam the jamma ek sad-o panjaah ke qareeb
nagaah askari nazar aaye hame udaas
dakhil huve makaa'n me ayaa'n chehre se thi yaas
paband hazn chaak gareebaan o be hawaas
dahni taraf khade huve aakar pidar ke paas
kis haal me hai koun ye hai jaante na the
huzzaar-e anjuman inhe pehchaante na the
noor-e nazar ko dekh ke hazrat ne ye kaha
kar shukr kirdegaar ka aye mere mehlaqaa
haadas ek amr tere liye haq ne hai kiya
rone laga ye sunte hi wo raaziye raza
bola ke shukr marhamat-e zuljalaal hai
de apni nemate'n ye quda se sawaal hai
poocha kisi ne tab huwa maaloom sab ko haal
ye hai hassan janaab-e ali un naqi ke laal
zaaher huwa jo umr ki jaanib kiya qayaal
hoga qareeb bees baras ka ye qush jamaal
samjhe ishaara ham ye kalaam-e imaam ka
hai jaanashee'n yehi shah-e aali maqaam ka
rota raha wasi-e shahinshaah-e behrobar
saa-at wo aayi sar se uthaa saaya-e pidar
ab saamere se hota jaha'n ki taraf safar
hai hai chuta musaafir-e yasrab se ye bhi ghar
ghul padh gaya wafaate ghareebul watan huwi
saamaan ghusl ka huwa fikr-e kafan huwi