lo momino qulaasa suno is bayaan ka
bano ko pursa do che mahine ki jaan ka par haal kis zabaa'n se kahoo'n bezubaan ka kyu gir pada na phat ke tabaq aasmaan ka
jhule me di panaah na maa ke kanaar me
kaati adoo ne gardan-e- asghar mazaar me
lipte huwe azizoun ke lasho'n se the haram
jo aah sar shahidou ke hone lage qalam
ginn ginn ke qud umar ne kiye naizo par alam
bola mulazimou'n se abhi ek sar hai kam
is dam mujhe qayall-e- itaab-e yazeed hai
arzi main likh chuka hoon bahattar shaheed hai
peetenge is bayan se sab koda-kho jawaa'n
ye taaza waaqiya hai ghazab ki hai daastaa'n kyu qushk hogayi na sitamgaar ki zabaa'n
bola umar talaash karo qabr ka nashaa'n
bachhe ki qabr khodh ke sar ko qalam karo
akbar ke sar ke paas sinaa par alam karo
baaz laraz laraz ke pukare ke al- hazar
ham to na qabr khodenge zaalim quda se dar
is bezabaan shaheed ke sin par to raham kar
sota hai saari raat ka jaaga lahu me tarr
dekhe na chain jhule ke na maa ki god ke
bachche ke sar na kaatenge ham qabr khod ke
kya uski qabr se tujhe daawaah hai aye laee'n
hazrath ne mol li thi ye maqtal ki sab zamee'n
be dafn hain mahe rufaqaa baad shaah-e- dee'n
be ghar hain ahlebait-e- shahinshah-e- mursalee'n
murdou ko gor zindou ki qaatir makaa'n nahin
ek baccha qabr me hai use bhi amaa'n nahin
rote the haaye laash-e shahidou pa sab haram
kya dekhte hain aata hai ek baaniye sitam
noke sinaa'n chubota hai mitti me dam badam
fizza pukaari qair kare rabbe zul karam
ye qabr dhoondta hai kisi naazneen ki
naize se dekhta hai ye narmi zameen ki
bano ne pucha deeda-e dil se bahake khoo'n
jo yaa hai kiski qabr ka ye zalim-e-zaboo'n
fizza pukari qaak mere mu me kya kahoo'n
main kis zabaan se saahibe turbat ka naam loo'n
khodega maqbaraa che mahine ki jaan ka
maangaa hai ibn-e-saad ne sar be zabaan ka
paikaan jis gale se abhi ho chuka hai paar
hae hae usi gale pa phiregi churi ki dhaar
araamgah murdoun ka hai gosha-e mazaar
bibi ke laqte dil ko waha'n bhi nahi qaraar
ne faateha na phool kisi noor-e- ain ke
hote hain zibha qabr me bachhe hussain ke