rawana nahr-e- laban ko jo sheerqaar huwa
zabaa'n dikhane pa gardan se teer paar huwa
tadap ke hathou pa hazrat ke ham kanaar huwa
qizaa'n huwa jo wo gul to gale ka haar huwa
idhar to shaah ko ye sadma-e- jigar pahoncha
udhar madine se sughra ka naamabar pahoncha
lahu me gharq khade the kamar jhuka-e- huwe
pisar ki nanhi si mayyat gale lagaa-e- huwe
lahu bhara huwa daaman use udhaaye huwe
kafan ki fikr me qaime ko mu phira-e- huwe
ye haal dekh ke qaasid ki aas toot gayi
huwa ye raasha ke fouran mehaar choot gayi
utar ke naaqe se aadaab wo bajaa laaya magar hussain the behosh kuch na farmaaye
wo nouha padhta huwa aur muttasil aaya
nigaah-e- yaas se mu dekh kar ye chillaya
qaraar do mujhe main beqaraar hota hoo'n
hussain jaan ke tum par nisaar hota hoo'n
kaho baqeeya-e aulad-e- murtaza ho tum
ameer-e- lashkar-e- allah-o- mustafa ho tum
ghareeb-e koofa-o- mazloom-e- karbala ho tum
bataao qasim-e- nashaad ke chacha ho tum
jawaab do pidar-e- naamuraad-e- akbar ho
janab-e hazrate abbas ke baraadar ho
behen hai aapki zainab sakina duqtar hai
har awwal aapke lashkar ka hurr-e- safdar hai
watan me bhi koi beti aleel-o shashdar hai
huzoor ka koi nanha sa laal asghar hai
zohair aur habeeb aap ke musaaheb hai
janab aun-o mohammed ke maamu saheb hai
hussain bharke dam-e sard bole aye ghamqaar
ameer koun hai main to hoon bekas-o- nachaar
kaha'n hai akbar-o- qasim kahaa'n alambardaar
quda ke bande the ye sab huwe quda pa nisaar
sipaahe zulm ne tanha samajh ke ghera hai
hazarou'n tegh hai aur ek halq mera hai
hataayi chehre se asghar ke khoo'n bhari chadar
paseena maut ka maathe se poncha sar ta sar
pukare laashey(murde) ki aankho'n pe honto'n ko rakh kar
likhi hai fatima ne deedaa bosi-e asghar
gawah rahiyo ke faaqe se jhoomta hai hussain aur unke bhai ki aankho'n ko choomta hai hussain
banaaloo'n nanhi si qabr inki aye qujista siyar to le chaloo'n pisar-e- noujawa'n ke laashe par to padhiyo lasha-e- akbar pa naama-e- qaahar
ye kahke ghode se utre imame jinn-o- bashar
zameen qabr ki khatir pasand karne lage
mazaar khod ke naale baland karne lage
lahu se ghusl to asghar ko de chuki thi qazaa
mali basoorat-e- kaafoor sheh ne khaake shifa
utaara qabr me asghar ka khoo'n bhara laasha
lita ke qaak pa qibla ki simt mu phe-ra phir apne chand ko jab khaak me chipane lage to ya ali kaha aur haath thar tharraane lage
ye haal dekh ke qaasid ne ki madadgaari
lahad me ungliyo'n se qaak daali ek baari
pukari qaime ke dar se ye bano dukhiyaari
ye kis ki qabr ki hoti hai ran me tayyari
hussain bole ke sadme naye guzarte hai
tumhare hansliyaa'n waale ko dafn karte hai
giri zamee'n pa kaleja pakad ke wo nachaar
pukari meri kamaai se aye zamee'n hushiyaar
na murda jaaniyo hai meri jaan ye dildaar
zameen me tere sadqe tere makee'n ke nisaar
ba zer-e- qaab meri mannatou'n ka baagh mila
tujhe ye phool mila aur hum ko daagh mila
balaae'n door se lele ke phir kiya ye bayaa'n
tumhari nanhi lahad ki mai waari asghar jaa'n
andhera ghar hai na ghabraiyo ye maa qurbaa'n
akele sone ki mushkil khuda kare aasaa'n
tumhare chahne waale gale lagaayenge
mujhe yaqeen hai janaab-e ameer aayenge