sar peeto aaj moosiye jaafar huwa shaheed
ibn-e ali-o ibn-e payambar huwa shaheed
ghurbat me aah kaazim-e bepar huwa shaheed
lo momino'n ka saathwaa'n rehbar huwa shaheed
pilwaaya zaher baade shah-e qaaso aam ko
haaroon na rasheed ne maara imaam ko
kis tarha se bayaa'n karu zulme ahle kee'n
afsos pet bhar kabhi khaana mila nahi'n
faaqe pe faaqe karta tha ahmed ka jaanashi'n
zindaa'n me choudaa saal the mahboob-e shaah-e dee'n
taaqat na thi zaraa bhi qaood-o qiyaam ki
haalat ye thi imaam alailhis salam ki
di ummat-e nabi ko na hazrat ne badd duaa
har waqt sheh ke lab pe raha shukr-e kibriyaa
sindi ke taaziyaanou'n ki har roz thi jafaa
behta tha qoon jism se roohi lakal fidaa
eezaa-e qaid aisi kisi ne sahi nahi
bedaad is tarha ki kisi par huwi nahi
al qissa zaher aap ko angoor me diya
jis se janaab-e moosa-e kaazim ne ki qazaa
baazo'n ne likha hai ye shahadat ka maajra
pighlaake sheesh aapko jabran pilaa diya
kaise kahu ke haal huwa kya imaam ka
jalkar huwa kabaab kaleja imaam ka
ghul padh gaya ke moosiye kaazim ne ki qazaa
laashe ko laake jasr pe aada ne rakh diya aur chehra-e imaam se kapda hataa diya
do roz yu hi laash ka chehra khula raha
thi laash bekafan shah-e aali maqaam ki
touqeer thi ye aal-e rasool-e anaam ki
nazdeek bhai tha na pisar tha, na bhaanja
tanhayi me ye zulm-o sitam waa musibataa
do roz tak to jasr pe laasha pada raha
mayyat pe rone waala bhi hai hai koi na thaa
sadme uthaake haye jahaa'n se guzar gaye
ghurbat me aah kaazim-e zeeshaan margaye
shia nisaar aap ki ghurbat ke yaa imaam
ghurbat me tum shaheed huwe aye shah -e anaam
be jurm maara aap ko ya shah-e qaas-o aam
haaroon ne haif kardiya kaam aap ka tamaam
qouf-e quda na qouf-e rasool-e quda kiya
shamme hayaat aapki zaalim bujhaa diya
misl-e tamaashaa dekhthe hai saare mard-o zan
hai zer-e aaftaab imaam-e huda ka tan
haaroo'n ka bhaai laash pe aaya basad mehan
hazrat ko apne ghar se diya qeemti kafan
kaazim ke paas bhejaa quda ne fidaayi ko lekin kafan mila na shahe karbalai ko