shaheed se koi shamsheer ka mazaa pooche
mareez se koi akseer ka mazaa pooche
aseer se koi zanjeer ka mazaa pooche
yateem se koi dilgeer ka mazaa pooche
har ek pa guzra zamane me ranj-o- gham hai hai
sahaa na aabid-e- beemar sa alam hai hai
shaheed hote huwe baap ko pisar dekhe
ani pa naize ki hai hai sar-e- pidar dekhe
jawaan bhaai ka nikla huwa jigar dekhe
phupi ko aankho'n se balwe me nange sar dekhe
kisi nabi pe na is tarha ke alam guzre
jo is mareez pa har tarha ke sitam guzre
shadeed tap me wo kaanto'n pa chalna aabid kaa
pahan ke bediyaa'n har ek qadam pa gir padnaa
wo zulm-o- jor-e- sitamgar haram ka shor-e-bukaa
wo jisme-laaghare aabid wo dhoop wo durra
siwaaye shukre quda kuch na kehte the sajjad
duaa-e- ummat-e- aasi me rehte the sajjad
phiraaya kaanto'n pa sajjad ko barahnaa paa
nabi ke kunbe ko balwe me le gaye aadaa
jalaaya qaima-e- naamoose syed-e- waala
phiraake balwe me zindaa'n me qaid kardaala
tamaasha dekhne sab ehle shaam aate the
hayaa se ahle haram gardan-e jhukaate the
sitam ke baad huwa qaid se jo chutkaara
laee'n se baap ka sar is yateem ne maanga
sare hussain qazaane se hind ne bheja
sawaar oonto'n pa kunba huwa payambar ka
lahad me laash gharibo'n ki haaye dharne chale
mah-e- butool ko paivand-e- qaak karne chale
jo pahonche karbobala aabide aseere balaa
pidar ko deke kafan qaak me rakha laasha
lipat ke qabr se chillaaye yu ke aye baba
watan ko jaata hoo'n lo aaqri mera mujraa
watan se aaya tha kis shaan se yahaa hai hai
lutaa ke ghar ko mai jaata hoo'n neem jaa'n hai hai
likha hai yu ke watan aaye jab shah-e-waala
pidar ki yaad me har waqt karte the naala
nazar jo aata tha paani to rote the moula
hamesha aankho'n me phirta tha dasht-e- karbobala
pidar ke baad bhi raahat mili na aabid ko
dobaara qaid kiya is ghareeb zaahed ko
watan se legaye phir qaid karke baaniye shar
huwi bhatije ke hamraah zainab-e- muztar
qareeb shaam jo pohnche wo dono nouhagar
lagaaya belcha zainab ki pusht ke oopar
safar me zainab-e- bekas se chut gaye sajjad
dayaar-e- shaam me phir aake lut gaye sajjad
phupi ko sounp ke jangal me syed-e- waala
madine me huwa daaqil wo bekas-o- tanha
waleed-e- shaam ke haakim ne zaher bhijwaaya
wo sam ke khaate hi aabid ne ki jahaa'n se qazaa
falak pa hoor-o- malak arsh ko hilaane lage
zamee'n pa jinn-o- bashar sar pa qaak udaane lage
mohibbo daaghe alam dil pa dhar gaye sajjad
jo khaya zaher to sad haif margaye sajjad
nabi ki aal ko be aas kargaye sajjad
yateem hogaye baaqir guzar gaye sajjad
sar apna peet'te marqad se mustafa nikle
kaleja thaamke kyu kar na faatema nikle
charaaghe deen-e- nabi aaj bujh gaya yaa rab
nishaan-e- panjetan-e- paak mitgaya yaa rab
uthaa jahaan se sartaaj ab mera yaa rab
qitaab bewa-e- aabid mujhe mila yaa rab
karu mai kya meri qismat bigad gayi yaa rab
chaman me faatema ke ous padh gayi yaa rab
quda ke arsh ka taara guzar gaya logo
ghazab hai shaah hamaara guzar gaya logo
wo bekaso'n ka sahaara guzar gaya logo
hassan hussain ka pyaara guzar gaya logo
madina lut gaya ya mustafa duhaayi hai
najaf ujad gaya ya murtaza duhaayi hai