Sote hai aah shaahe qurasaa'n mazaar me
Sahte rahe jafaye'n jahaa'n ke dayaar me
Samka asar huwa Jo tane beqarar me
Bejaan hoke sogaye moula mazaar me
Mamoo'n ne tha khilaya sam aaqa guzar gaye
Ghurbat me haaye toos ke sultan mar gaye
Bhulega ye jahaa'n na tadapna imam ka
Masmoom hoke dard wo sehna imam ka
Tanhayi me jahaa'n se guzarna imam ka
Ghurbat me haaye dafn wo hona Imam ka
Bhai ko mout qabr me hai hai sula gayi
Qwahar watan se dhoondti bhai ko aagayi
Awaaz de rahi hai ke majaye bewatan
Aye bhai tumse milne ko aati hai ye behan
Pahunchi qarib qum ke jo wo morid e mehan
Paayi qabar ke margaye bekas shahe zaman
Ek aah ki tadap gayi khamush hogayi
Masooma haaye sadme se behosh ho gayi
Aaya jo hosh boli ke bhaiyya kahaa'n gaye
Choda marize gham ko masiha kaha gaye
Seh seh ke zulm aye shahe wala kaha gaye
Kis simt dhunde tumko ye dukhya kaha gaye
Majaye tumse milne ko hamsheer aayi hai
Tum sogaye mazaar me bhaiyya dohayi hai
Parde ka ek makaa'n me kiya khaas ehtemaam Aur bibi ko utara wahaa'n baasad ehteraam
Bhai ke gham me roti thi masoosa nekh naam
Aankho se Ashk jari rahe aah subho Shaam
Kehti thi margaye mere mazloom bhai jaa'n
Jag se guzar gaye mere mazloom bhai jaa'n
Majaye ab mazaar se
tashrif laaiye
Bhai bahan se milne ko jannat se aayiye
Alqissa gham me bhai ke sadma huwa kamaal
Aaqar aleel hogayi shahzadi qush qisaal
Bistar se uth na sakti naqahat ka tha ye haal
Aqar faresh hogayi shahzadi qush qisaal
Ro ro ke wo aleel huwi aur margayi
Masooma bibi haaye jahaa'n se guzar gayi
Ghurbat hai aur masooma bibi ki lash hai
Hasrat hai aur masooma bibi ki lash hai
Fursat hai aur masooma bibi ki lash hai
Aafat hai aur masooma bibi ki lash hai
Pardes me gharib ko yu'n mout aayi hai
Ghurbat ki khaak paati hai bibi dohaayi hai
Yu'n gham me uth raha hai janaza gharib ka
Dil ko dukhara hai janaza gharib ka
Sabko rula raha hai janaza gharib ka
Turbat Ko jaa raha hai janaza gharib ka
Sab shia sar barehna hai aasu bahate hai
Hai hai janaza bibi ka wo leke jate hai
Lasha wo gham zadah ka litaya mazaar me
Masooma ka janaza sulaya mazaar me
Is gham zada ko haaye chupaya mazaar me
Pinhaa'n nazar se hogaya lasha mazaar me
Masooma bibi haaye jo marqad me soti thi
Ruhe raza bhi qabr pe qwahar Ki roti thi
Mid'hat ki arz hai mere sarkar mustafa
Aaqa ali o fatima husnain gham zada
Aale rasool toos ke sultan aye raza
Pursa qubool kijiye masooma bibi ka
Ashko ki nazr lijiye ya baarwe imam
Pursa qubool kijiye ya baarwe imam