bilqees paasbaa'n hai ye kiski janab hai
maryam duroodqa'n hai ye kiski janab hai
shane khuda ayaa'n hai ye kiski janab hai
dehleez aasma'n hai ye kiski janab hai
kursi zamee'n se leti hai goshe panah ke
baitha hai arsh saaye me kis baargah ke
ulfat quda ke baad habeebe quda ki hai
munsif ke paas ye bhi vila kibriya ki hai
parwaa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hai
eeza faqat judaai-e qairulwara ki hai
aabo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hai
ankho'n mein shakl baap ki rone ka dhyan hai
bete pukaarte hai ke lillah baahar aao
amma na itna ro-o ghulamou'n pe rahem khao
nana kaha'n gaye hai bula laye hum batao
hum kapde phaadte hai nahi to gale lagao
nana ke baad haaye ye beqadr hum huve
sab ek taraf huzoor ke bhi pyar kam hue
aaqir wafoore girya se aajiz huve arab
hyder ke paas rone ki faryaad laaye sab ki arz Fatima se kaho aye wali-e-rab
ya sayyeda tumhari raiyyath hai jaa'n balab
khane ka koi waqt na sone ka waqt hai
jo waqt hai woh aapke rone ka waqt hai
baahar se murtuza gaye ghar me jhukaye sar
muh dhanpe ro rahi thi akeli woh qushsiyar
dene lage payame Arab shahe behrobar
ghabrake boli haye karu kya mai bepidar
qaabu me mout hove toh marjaau ya ali
baba ka sog leke kidhar jaau ya ali
meri taraf se ahle madina ko do payaam
logo qafa na ho meri ruqsat hai subho-shaam
do chaar din tumhare mohalle me hai maqaam
rone ki dhoom ho chuki ab kaam hai tamaam
ghabraati hu watan me safar ke maheene se
baba sidhaare kaam mujhe kya madine se
ek din nigaah karte hain kya shahe la-fatah
mathbaq hai garm aaride jo hai gundha hua
nehla rahi hai bachhou ko mal mal ke dast-o-pa
phaila diye hai kurte bhi dho kar juda juda
poocha ke itne kaamo'n ka jo shaghl aaj hai
is waqt kuch bahaal tumhara mizaaj hai
boli ke aaj raat ko ho jaoongi bahaal
kal mere kaarobar me tum honge qud nidhaal
qidmat ka mere bachhou ki hoga kise khayaal
nehla dhula diya ke pareshaa'n tha unka haal
kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali
sehra na dekha ek ye armaan le chali
phir to har ek mohalle me mehshar bapa hua
apne paraaye daude ke hai hai ye kya hua
fizza pukari sayyeda ka waaqeya hua
hujra batoole paak ka maatam sara hua
chaati qalaq se dekhne waalo'n ki phat gayi
muh rakhke muh pa murde ke zainab lipat gayi
mai doodh baqshwane na paayi ke chal basi
sharbat bana ke lane na paayi ke chal basi
kuch haale dil sunane na paayi ke chal basi
mai be-naseeb aane na paayi ke chal basi
kya jald tar zamaana hua inteqaal ka
hai hai abhi toh sin tha kul athara saal ka
aye meri faaqa kash meri nadaar amma jaa'n
aye meri be-dawa meri beemaar amma jaa'n
kaabe ki aabroo meri sardaar amma jaa'n
aye meri sabera meri nachaar amma jaa'n
nana muyi'n to thi koi taaza qitaab do
amma jawab do meri amma jawab do
nanhe se sar khule hai nahi sar pe topiyaa'n
kehte hai kuch toh muh se nikalta haaye maa'n
likha hai jab janaze pa pohnche wo neemjaa'n
hasrat se dekha murde ka muh aur ye ki fughaa'n
amma ghulam aaye hai ruqsat ke waaste
jaati ho tum nabi ki ziyarat ke waaste