shora jahaan me hassan-e askari ka hai
naqsha nagee'n ye arsh ki angushtari ka hai
kounain me ye gul chaman-e hyderi ka hai
durr-e yateem maadan-e paighambari ka hai
mazlumiyat misaale janaab-e hussain hai aur dabdabe me faatahe badr-o hunain hai
par motemad ne qehr kiya waa musibata
aise wali ko zehar diya waa musibata
imaa'n ke ghar ko loot liya waa musibata
qoone jigar haram ne piya waa musibata
phaada kafan nabi ne ali nange sar huwe
bachpan me haye mahdi-e dee'n be pidar huwe
arwaahe panjetan ko sataaya hazaar haif
jannat me mustafa ko rulaaya hazaar haif
turbat se fatima ko uthaaya hazaar haif
qabr-e shah-e najaf ko hilaaya hazaar haif
ghul saamere me hota tha jis waqt bain ka
yaa'n karbala me hilta tha marqad hussain ka
hairaa'n the zaayeraan-e hussaini ke kya hai aaj kyu zalzale me qabr-e shah-e karbala hai aaj
mehshar miyaane ganj-e shaheedaa'n bapaa hai aaj
aati hai ye sadaa hame sadma badaa hai aaj
zaqmi badan ko mere adoo ne hilaa diya
pote ko mere zehre halahal pilaa diya
hairat hai kyu zamee'n pe na arshe ulaa giraa
is zulm se ammaama-e mushkil kushaa giraa
abbasiyo'n pe kyu na falak jaabajaa giraa
baalaa-e qaak taaj-e rasoole quda giraa
sar apna khole sog me aal-e rasool ne
jannat me sar se phaink di chaadar batool ne
likha hai jab imaam huwe aazim-e jinaa'n
ek dafaa saamere me qayaamat huwi ayaa'n
doulat saraa-e shaah se aane lagi fughaa'n
lo momino yateem huwe saaheb-uz zamaa'n
sar garm zulm chaaro'n taraf bad qisaal hai aur haif hai ke mahdi-e dee'n qurd saal hai
saaya na baap ka na koi bhaai saath hai
sar par imaam-e asr ke bas haq ki zaat hai
is bepidar ki simt kise iltefaat hai
ab sharm ehle bait ki zahra ke haath hai
laashe ke gird shor jo nouhe ka hota tha
masoom phoot phoot ke baba ko rota tha
ab is tarha se ehle qabar karte hai bayaa'n
maatam saraa me bibiyaa'n karti thi ye fughaa'n
nehla chuke jo laasha-e moulaa-e do jahaa'n
kafnaaya usko raqte mutahir ke darmiyaa'n
aawaaz aayi fatima ke shor-o shain ki
sab shiyaa roye bekafani par hussain ki