Kanz e Aza

Haye Mazloom Hasan

A noha for Imam Hassan Askari (a.s), written by Saeed Aqil. Lyrics in Roman Urdu.

haye mazloom hasan askari

mere imam hasan askari


saamara mein phir chali karbobala ki jab hawa

jigar maula askari ka tukde tukde ho gaya


lehad mein binte nabi ka hogaya dil muztarib

haye maula askari ka dil bata tukdon mein jab

ye meri aulaad par zulm kaisa hai khuda

saamara mein phir chali...


fatema zehra ko aaya yaad phir beta hassan

zehr se chalni jigar tha khoon se tar tha kafan

jo mila kya hai yehi ajre risaalat ka sila

saamara mein phir chali...


qaid mein bhoole na maula askari karbal ke gham

jo huwe aale aba par shaam o kufa mein sitam

ya hussaina ya hussaina ki rahe de de sada

saamara mein phir chali...


askari imam ke farzand e mehdi aayenge

har jagah farshe aza phir dekhna bich jayenge

khud bayan farmeinenge maula bayan e karbala

saamara mein phir chali...


askari maula ka nauha ho likha aqil qabool

tujhpe raazi ho aneem hashr mein binte rasool

baargah e askari maula mein hai ye ilteja

saamara mein phir chali...