matam hai saamara may imam e hassan ka aaj
saaya saron se uth gaya shaah e zaman ka aaj
roti hai sar ko peet ke narjis ba-haal e zaar
bewa hui mai uth gaya waali jahan se aaj
matam hai saamara...
khairunnisa ko haye rulaaya mazaar may
taaza kiya hai matam e karbobala ko aaj
matam hai saamara...
chora najaf ko saamara pahunche hai murtaza
matam kuna habeeb e khuda khuld may hai aaj
matam hai saamara...
hai chaak gareban aur sar hai khula hua
haye khaak sar pe daale imam e zamaan hai aaj
matam hai saamara...
ghurbat may hum ko chore chale haye baba jaan
bekas yateem jahan may tanha hua hai aaj
matam hai saamara...
ghusl o kafan diya aur lehad may lita diya
lo khaak e saamara bani khaak e shifa hai aaj
matam hai saamara...
qudsi wo chand chup gaya badal ke darmiyan
ghaibat shuru hui hai imam e zamaan ki aaj
matam hai saamara...