aaj aalam me naqi ka janashee'n paida hua
mustafa ka gyaarwa masnad nashee'n paida hua
hogaya roshan naqi ke chand se saara jaha'n
hai taqi masroor pota mehjabee'n paida hua
shor hai salwat ka ghul hai mubarakbaad ka
qush hai maa aur baap farzande hasee'n paida hua
quld me masroor hai roohe ali o fatima
murtaza ka aaj daswa jaanashee'n paida hua
jiska beta hazrate eesa ka hoga peshwa
wo falake qadr aaj baalaae zamee'n paida hua
terwe (13) masoom ki meelaad ka hai jashn aaj
shaad hai sab mominee'n sultane dee'n paida hua