shah-e waala ne shahaadat ka sar anjaam kiyaa
sar kata zulm sahe haq ka magar kaam kiyaa
sabr ne aabid-e- beemar ke etmaam kiyaa
baap aur bete ne islaam ko islaam kiyaa
waada tifli ka jo shabbir wafaa karte hai
haq ye farzandi e sarwar ka adaa karte hai
koun masoom huwa touq-o-salaasil me aseer
koun hai wo jise pahnaayi ho dohri zanjeer
taaziyaano'n se adu dete the kisko taazeer
kiske maa bahno'n ki majme me huwi hai tash'heer
tay koi kar na saka jisko wo ye manzil hai
sabr naamoos ke baare me bahot mushkil hai
kargaye the jo wasiyaat shahedee'n waqt-e-aqeer
sabr se kaam liya kijiye baade shabbir
shukr karna jo pinhaye tumhe bhaari zanjeer
bad-duaa dena naa ummat ko jo zainab ho aseer
tum jo big'doge to qaaliq ka ghazab aayegaa
kaam jo maine banaaya hai bigad jaayegaa
dhyaan baba ki wasiyaat pa jo karte hai imaam
unke qaatil se bhi farmaate hai narmi se kalaam
touq pehnaane ko jo laata hai jo wo bad anjaam
qud badhaa dete hai gardan ko shahinshaahe anaam
ye tahammul hai ise shaan-e- wafaa kehte hai
kehne waale ise tasleem-o- razaa kehte hai
baap ki laash pa wo zulm huwaa kuch na kahaa
chin gayi saaniye zehra ki ridaa kuch na kahaa
baazu naamoos ka rassi me bandhaa kuch na kahaa
taaziyano'n ki sahi saqt jafaa kuch na kahaa
gham se maadar ka jigar seene me phat'te dekha
ali asghar ka gala qabr me kat'te dekha
sar barehna sar-e- darbaar gaye sabr kiya
dar badar koocha-o- baazaar gaye sabr kiya
qudrate'n rakh ke giraftaar gaye sabr kiya
be dawa qaid me beemaar gaye sabr kiya
qadr baba ki wasiyyat ki dikhaayi tune
qabr haatho'n se sakina ki banaayi tune
yaa ali dekhlo pote ki musibat dekho
gham-o- andoh ki tasweer hai soorat dekho
shiddate- tap se ghazab ki hai naqaahat dekho
touq phir us pa gale me hai qayaamat dekho
waqf-e- aalaam hai hazrat ke gharaane waale
kya sitam sehte hai ummat ke bachaane waale
haaye jeete hai teri qabr mitaane waale
quld me ahmed-e- mursal ko rulaane waale
chashme insaaf se dekhe to zamaane waale
kaise hote hai mohammed ke gharaane waale
zaher peete hai gala tegh se katwaate hai
qabr me jaake bhi aaraam nahi paate hai