roke kehti thi fatima zehra
sunlo rudaad ya habeebe quda
gham se jalta hai ab jigar mera
kya yahi ajr hai risaalat ka
lab pe ummat ka hai gila baba
qoob pursa mujhe mila baba
aap ke baad mujh pe zulm huwe
mujh ko ummath ne hai diye sadme
wo masayab uthaaye hai maine
din pe padte to raat hojaate
accha hota jo mai guzar jaati
aap se pehle kaash marjaati
be-sabab mere ghar pa aayi bala
kya tha mera qusoor aye baba
lakdiya leke aagaye aada
mere darwaze ko jala daala
qatm joro jafa hui mujhpar
zulm ki inteha hui mujhpar
sun sako to suno meri rudaad
dhaayi ummat ne mujh pe hai bedaad
ro raha hai mera dile nashaad
haal kis se karu mai ab faryaad
aag le le ke dushman aaye hai
zulm mujh par layee’n ne dhaaye hai
jalta darwaza jab gira mujh par
khadi dewaar se thi mai lag kar
rahem khaaya na mujh pe baa-niye shar
paaou maloon ne rakha dar par
mujh ko darwaaze se daba dala
aag se pairahan jala dala
zarb mere shikam pe aisi lagi
jiski takleef bathn tak pohnchi
pehlu toota mera jafa ye hui
daro dewaar se mai dabti rahi
koi faryaad ko nahi aaya
koi imdaad ko nahi aaya
shiddat-e zarb se hui eeza
dard mere shikam me hone laga
mai idhar tadpi wo udhar tadpa
margaya bathn me mera baccha
kis se faryaad mai karu bolo
ab mai kis tarah se jiyu bolo
mere mohsin ko haaye wawaila
behayao'n ne qatl kar dala
besabab mujh pe zulm hai dhaaya
ab nahi koi poochne wala
mu ko ashko se dhoti rehti hu'n
apne mohsin ko roti rahti hu'n
mera pursane haal koi nahi
jeene ka ab sawaal koi nahi
karne wala malaal koi nahi
zaqm ka andmaal koi nahi
jism rah rah ke sard hota hai
mere pehlu me dard hota hai
shiddat-e dard ka asar ye hua
jism se toota jaan ka rishta
jaan leva tha dard ka hamla
hui bejaan fatema zehra
mujtaba karke bain rone lage
peet kar sar hussain rone lage