Kanz e Aza

BANO PICHLE PAHAR ASGHAR KE LIYE ROTI HAI

A marsiya for Ali Asghar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

bano pichle pahar asghar ke liye roti hai

ek wo jaagti hai qalq-e- khuda soti hai

sar ko bhi peet-ti hai jaan ko bhi khoti hai

ye ajab gham hai ke taskeen nahi hoti hai


peet'te peetite behosh jo hojaati hai

ali asghar ali asghar ki sadaa aati hai


kabhi kone me wo mu dhaamp ke chillati hai aur kabhi sahen me ghabraake nikal aati hai

kookh pakde huwe har ek taraf jaati hai

dhoondti hai magar asghar ko nahi paati hai

tan ko larzish hai juda aur hai mu zard juda

dil tadapta hai juda seene me hai dard juda


kabhi kehti hai ke ghar me mere andhiyaara hai

ali asghar ki judaayi ne mujhe maara hai

haaye main ghar me hoon jungle me mera pyaara hai

meherbaani jo kare mout to chut'kaara hai


kab talak raato'n ko ham nala-o faryaad kare'n

ya ilaahi ali asghar mujhe ab yaad kare'n


god phailaake kabhi kehti hai dilbar aaja

rooh be-chain hai aaja ali asghar aaja

dil tadapta hai mera god ke andar aaja

fatema ke liye aaja paye hyder aaja


boond paani ke liye haaye teri jaan gayi

aa mai sadqe gayi waari gayi qurbaan gayi


aake seene se mere seena lagado beta

aag bhadki hai kaleje me bujhaado beta

qushk mu apna mere mu se mila do beta

ek nazar chand si tasveer dikhado beta


jaao phir quld me maa tumko na behlaayegi

ek dam se na ziyada tumhe tahraayegi


loriyaa'n hum tumhe aye laal diya karte the

aap lete huwe jhule me hasa karte the

ghutniyou'n ghutniyou'n gar aap chala karte the

kurta pakde huwe ham saath raha karte the


haaye maa baap se qismat ne chudhaya tumko

soone jangal me meri jaan sulaya tumko


yaad har cheez teri aati hai aye nek qisaal

meri nazro'n ke tale phirti hai wo teri chaal

juti juti wo bhawe'n aur jhandoole wo baal

choti choti wo teri ungliyaa'n aye mere laal


bu-e gul aati thi beta tere pairaahan me

qoob khilti thi ali band teri gardan me


qalq sab soti hai raato ko gharou me apne

ham agar lete hai karwat to qasam lo hamse

neend aati mere pahlu me agar tum hote

tum to aye laqte jigar god me marqad ke gaye


yaad is paalne waali ki bhulaayi tumne

paayenti baap ki aye laal basaayi tumne


haaye asghar na tera dain huwa maa se adaa

bojh koi meri gardan se na utraa tera

naa teri saalgiraah ki, na tera doodh baddha

naa lahad tujh ko mili aur na kafan tujh ko mila


tum to maare gaye chaati pa litaau'n kisko

chote chote ye shalooke mai pahanaoo'n kisko


bain karti thi yeh sar peet ke bano dukhya

aage is tarha se hai raavi-e pur gham likkha

aayi ek simt se waa'n peetne rone ki sadaa

har taraf bano-e- bekas ne ba hasrat dekha


roke kehne lagi maaloom nahi hota hai

koi baitha huwa hamraah mere rota hai


koun hai meri tarha dukh me phasa aye daawar

koun bekas hai meri tarha se rota aakar

ye wo kehti thi ke ye aayi sadaa us jaa par

aye bahu quld se aaya hai yahaan paighambar


tere rone ne aziyyat mujhe pahonchayi hai

qabr se aah teri mujh ko uthaa laayi hai


ghash me bano ne jo ye fatema zehra se suna

haath phaila diye aur god me asghar ko liya

mu se mu uske mala aur labou ko chooma

qoob lipta ke kaleje se ye roro ke kaha


thi judaayi ne teri, aag lagaayi beta

tum ne wo aag mere dil ki bujhaayi beta