bano ke sheer qaar ko haftum se pyaas hai
bachhe ki nabz dekh ke maa be-hawaas hai
ne doodh hai naa paani ke milne ki aas hai
phirti hai aas paas ye jeene se yaas hai
kehti thi kya karoo'n mai duhaayi hussain ki
putli phiri hai aaj mere noor-e- ain ki
faryaad ya ali mai kidhar jaau'n ya ali
in daaghou'n ko kaha'n se jigar laau'n ya ali
kis tarha inki saans ko tehraau'n ya ali
paani ka qahat hai mai kahan paau'n ya ali
pichli ko aankh khole the ab kholte nahi
rote nahi humakte nahi bolte nahi
aaqir kaha ye sab ne, bulaao imaam ko
laao khuda ke waaste laao imaam ko
is bezabaa'n ka haal sunaao imaam ko
neeli rage'n gale ki dikhaao imaam ko
akbar ki laash le gaye hai qatlgaah me
koi pukar lo woh abhi honge raah me
mu par jawaa'n bete ka taza lahu lagaaye
matam saraa me ganje shahidaa'n se shaah aaye
jhule pa haath pakde huwe ahlebait laye
bachche ke haath paau'n hila kar inhe dikhaaye
rokar kaha ke sans faqat aashkaar hai
ho iska kya hisaab ke dam ka shumaar hai
baithe sarhaane jhule ke shabbir sar jhukaaye
asghar ke kaan se lab-e moujiz numa milaaye
chupke se kuch kaha ke wo sunte hi muskuraaye
soo-e-hussain haath bhi be saaqta badhaaye
boli sakina baba ne mushkil kushaayi ki
amma mubarak aankh khuli mere bhaai ki
hathou pa isko leke chale shaah-e karbala aur saath saath goud ko khole huwe qazaa
likha hai dhoop tezz thi aur garm thi hawa
asghar pa maa ne daal di ujli si ek ridaa
chaadar na thi wo chahra-e pur aab-o- taab par
tukda sufaid abr ka tha aaftaab par
pahonche qareeb-e- fouj to tyoraa ke reh gaye
chaaha kare sawaal pa sharma ke reh gaye
ghairat se rang udh gaya tharra ke rah gaye
chaadar pisar ke chehre se sarka ke rah gaye
aankhe'n jhuka ke bole ye ham inko laaye hain
asghar tumhaare paas gharaz leke aaye hain
phir hont bezubaan ke choome jhuka ke sar
rokar kaha jo kahna tha so keh chuka pidar
baaqi rahi na baat koi aye mere pisar
sookhi zabaan tum bhi dikhado nikaal kar
pheri zaba'n labou pa jo is noor-e- ain ne
tharra ke aasmaan ko dekha hussain ne
moula falak ko dekh rahe the ke naagahaa'n
li hurmula ne shaane se do taank ki kamaa'n
tarkash se jab ke khainch liya teer-e jaa'n sataa'n
choda kamaan se taak-ke halqoome be zubaa'n
chut-te hi halq bachhe ka chedaa jo teer ne
tharra ke aasman ko dekha sagheer ne
kya sin tha teer khate hi bachha dahel gaya
sookhe gale se khoon ka darya ubal gaya
tadpa jo sheh ke hathoun pa to manka dhal gaya
topi giri zameen pa aur dam nikal gaya
nanhi kalaiyo me tash-nujh se bal pade
hichki jo aayi mu se angotte nikal pade
mu aasmaa'n se sheh ne phiraya ke kya huwa
dekha ke paar halq se teer-e jafaa huwa
bachha tadap raha hai lahu me bhara huwa aur nanha haath zaqme gulu par dhara huwa
aankhe'n phiraaye dete hain tewar badalte hain
aage to doodh ugle the ab khoo'n ugalte hain
khaincha gale se bachhe ke aahista sheh ne teer aur hatoun pe bulandh kiya laasha-e sagheer
gardan jhuka ke bole ke aye qaaliq-e qadeer
maqbool ho hussain ka ye fidya-e- aqeer
shashmaha koi kushta-e teere sitam nahi
ye bezubaan naaqa-e saaleh se kam nahi