Baano pe aur ek musibat guzar gayi
Sughra ghareeb aaj jaaha'n se guzar gayi
Bimaar faqa kash meri beti thi mar gayi
Majboor maa ko chod ke daadi ke ghar gayi
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Beemar aur uspe ye aafat hai allama
Duri pidar ki aur ye furqat hai allama
Asghar ki yaad aur ghurbat hai allama
Pardesiyou ki yaad me hasrat hai allama
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Afsoos haye aur qayamat ye hogayi
Yaade pidar me aah wo ghut ghut ke margayi
Sab hasrate liye huwe ham se bichad gayi
Rote hi rote aah wo mazloom margayi
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Kab se tumhe pukaar rahi hai ye neem jaa'n
Do kuch jawab maa ko to aye meri qastajaa'n
Bin tere chain aaye na maa ko na meri jaa'n
Hai hai madeena hogaya veeraan meri jaa'n
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Maa ki muraadou wali na madar ko chode jaao
Is bekas o ghareeb ko bhi sath leti jao
Bin tere hogi kis tarha meri basar bataao
Kis kis ka daagh dil pe sahogi batate jao
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Accha tumhara qaliq e akbar nigaah baa'n
Baba ki pyari kunbe ki ghamqaar meri jaa'n
Bewa ghareeb maa ki pur armaan meri jaa'n
Aaraam se lahad me tu soyegi meri jaa'n
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Aabid ki jaan kunbe ki thi shaan alvida
Aye laadli ghareebou ki mehmaan alvida
Daadi ki jaan bano ki dildaar alvida
Aye nou gule bahaar e gule zaar alvida
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do
Abbasiou ka aye meri bibi salaam lo
Ham sog nasheenoi ka meri bibi salaam lo
Ham bekaso ghareeb ka bibi salaam lo
Ham qadimo ka aye meri bibi salam lo
Aye jaa'n nisaar kunbe ki shehda jawaab do
Sughra jawab do meri sughra jawaab do