kisi beemar ne khat apne masiha ko likha
haal bimariyo'n ka beti ne baba ko likha
jo bhi armaan tha dil me shah-e- waala ko likha aur salaam apna phupi saniye zehra ko likha
dil me qush thi ke mera qat jo pahonch jayega
hai yaqee'n ab koi lene ke liye aayega
qat me alqaab ye bekas ne kiya tha marqoom
chahne waale pidar mere imam-e- mazloom
raat din roti padi rehti hu ab to maghmoom
aap to bhoolgaye qair ye mera maqsoom
na gilaa tum se hai na koi shikayat baba
haan mubarak ho sakina se mohabbat baba
qair tum ko na sahi, mujh ko hai tum se ulfat
kisi surat mujhe dikhlaao tum apni surat
jaanti hoon ke sakina pa bahut hai shaffqat
accha aye baba bahan ki mai karoongi qidmat
mujh ko bulwake wahaa'n mera bhi dil shaad karo
lo kanizi me sakina ki mujhe yaad karo
gar nahi mujh ko bulate ho to aao baba
shouq se apni sakina ko bhi laao baba
usko sine pa sulaate ho sulaao baba
ham ko rulwate ho to qair rulaao baba
ranj sahti huwi dunya se guzar jaaungi
aap aaye nahi ek roz mai marjaaungi
aarzu hai ke kisi tour yahan aajaye'n
aap ki jaan se door, aah jo ham marjaaye'n
apne hathou se kafan aap mujhe pahnaaye'n aur takleef lahad tak bhi zara farmaaye'n
bas zyada na sawari yaha'n tehraiyega
dafn karte hi mujhe aap chale jaaiyega
maa ko marqoom tha aye madar-e- farqanda siyar
saqt baba ki tarha karliya tumne bhi jigar
aas bachne ki nahi lijiye ab jald qabar
warna bimaar ka ab hota hai dunya se safar
nahi ummed ke bach jaaye ye muztar amma
doodh ab baqsh do bimaar ko aakar amma
tha raqam hazrat-e- zainab ko phupi nek qisaal
tum ko bhaiyya ali akbar se mohabbat hai kamaal
haaye har dam mujhe reh reh ke ab aata hai qayaal ke mera bhai pa bhari hai ye attharwa'n saal
haan tasadduq ke liye der na farmaaiyega
sadqe hone ke liye bhai pa bulwaaiyega
tha alamdar ko tahreer ke abbas chacha
door uftada bhatiji se huwe tum bhi qafa
sunte hai aapki har baat ko mere baba
mujh ko bulwaaiye, ya laaiye unko mai fidaa
chumungi unke qadam tumko duaa'en doongi
unki bhi aur tumhari bhi balaye'n loongi
likha akbar ko ke aye baap ke pyare akbar aur phupi jaan ke bhi raaj dulaare akbar
mere baba ki zaeefi ke sahare akbar
hai ye bimaar bahan gor kanaare akbar
waada lejaane ka tha dekhiye kab aate hai'n
aap to aate nahi qalq se ham jaate hai'n
tha qitaab asghar-e- nadaa'n se ke aye rashk-e- qamar
ghutniyo'n bhi na chale ho gaya darpesh safar
mujh ko har dam tera rehta hai qayaal aath (8) pahar
sote ho jhule me ya jaagte ho aye asghar
neend aaram se aur chain se aati hogi
jab sakina tere jhoole ko jhulati hogi
yaad aate hai tumhare wo jhundule mujhe baal
sadosi saal salaamat raho aye mere laal
tumko bimaar bahan ka nahi maloom ahwaaal
mout nazdeek hai aur zouf-o- naqahat hai kamaal
mai jo marjaau'n kahi'n bhool na jana asghar
ghutniyo'n chalte huwe qabr pa aana asghar
ye na tha ilm use kat gaya sarwar ka gala
qasim-o- akbar-o- abbas huwe shah pa fida
teer kha kar ali asghar bhi gaye sooe baqaa
baaqi ek bhai tha sajjad so wo qaid huwa
maa, phupi, bahne'n luti qaime bhi taraaj huwe
ek chaadar ko haram shaah ke mohtaaj huwe