momino sar peet lo qatl huwe hai naqi
saamrah mein zehr se qatl huwe hai naqi
rote hai sadaat ab hogaya haye ghazab
aati hai kaisi nida qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
tune ay motaz bil-laah kyun diya zehre dagha
wo tha aseer e jafa qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
zehr ne kaata jigar nauha kuna baam o dar
bich gayi farshe aza qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
kehke bulaaya iraq milne kla hai ishtiyaaq
phir diya zehre qaza qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
nauha kuna bibiyan sog mein dono jahan
kehte hai sab ins o jaan qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
mar gaya baba mera koi nahi hai yahan
zulm hia mere khuda qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...
jayenge ishrat kabhi padte huwe aap bhi
saamrah se karbala qatl huwe hai naqi
momino sar peet lo...