ruqsat jahan se aaj ali naqi ki hai
ye shab gham o alam ki hai seena zani ki hai
chaaya hai saamra ki fizaon mein ranj o gham
zehr e dagha se haye naqi par kiya sitam
sosan pe haye sa'at badi bebasi ki hai
ruqsat jahan se aaj...
yasrab ke shaah ko jo bulaya fareb se
tune layeen haye sataya fareb se
ye daswa janasheen nishani ali ki hai
ruqsat jahan se aaj...
qaidi bana ke qaid e sitam mein rakha gaya
har ek zulm o jaur naqi par kiya gaya
shaam o sehar yun dard mein us muttaqi ki hai
ruqsat jahan se aaj...
dhaaya hai zulm tune layeen ye imam par
laanat ho do jahan ki sitamgar ke kaam par
haalat ajeeb sam se khuda ki wali ki hai
ruqsat jahan se aaj...
ummat ne phir se aale nabi ko kiya shaheed
yani ke haye maula naqi ko kiya shaheed
ghurbat mein aaj laash ye ibne taqi ki hai
ruqsat jahan se aaj...
larzi zameen aur falak ho gaya udaas
koi nahi hai haye jo maula naqi ke paas
kitni ajeeb aaj ghadi bebasi ki hai
ruqsat jahan se aaj...
roya hai ta hayaat jo maula hussain par
hyder ki aarzu dil e zehra ke chain par
sar peeto momino ke ye mayyat usi ki hai
ruqsat jahan se aaj...
sar pe hamare baap ka saaya nahi raha
ghurbat mein ek bete ne ro kar yehi kaha
dard o alam mein goonji sada askari ki hai
ruqsat jahan se aaj...
abbas do imam ka pursa batool ko
tiskeen hogi sahibe aalam rasool ko
haalat malool khuld mein roohe nabi ki hai
ruqsat jahan se aaj...