Nikla wo sher khaime ke baahar alam liye
Mujre ko aayi fat'he sipaah-e-hasham liye
Jurrat ne badh ke bosa-e-tegh-e-do dum liye
Nusrat ne choome paao, zafar ne qadam liye
Khursheed ka jalaal nigaaho'n se gir gayaa
Iqbaal sar ke gird humaa ban ke phir gaya
Aaya sajaa hua wo samand-e-Buraaq Sair
Tha jo falak pe udne ko taiyaar misl-e-tair
Hota tha uske dar se ghazaalon ka haal ghair
In me sipaah-e-shar use roke, to ye bakhair
Sar sar qadam ki gard ko paati nahi kabhi
Dhoonde basher, pari nazar aati nahi kabhi
Wo zaib o zain zeen ki wo saaz wo phaban
Zevar me jaise hoti hai aaraasta dulhan
Chashm-e-siyaah deeda-e-aahu pe taanazan
Sar'at ye thi ke bhoolte the chaukdi hiran
Jaadu tha maujiza tha pari thi tilism tha
Paakhur na thi zira me tehemtan ka jism tha
Rakkha qadam rakaab me Haider ke laal ne
Nalain-e-paa ko fakhr se chooma hilaal ne
Bakhshi jo sadr-e-zee'n ko zia, Khush Khisaal ne
Dum ko chawar kiya faras-e-bemisaal ne
Kis naaz se wo rashk-e-ghazaal-e-khutan chala
Taoos tha ke sair ko soo-e-chaman chala
Khushboo se arz-e-paak riyaaz-e-jinaa'n bani
Gard udh ke ghaaza-e-rukh-e-laila wishaa'n bani
Jalwe se raah-e-dasht-e-bala kehkasha'n bani
Zarre bane nujoom, zamee aasmaa'n bani
Sum burd the to naal bhi chaaro hilaal the
Naqsh-e-sum-e-faras se hazaaro hilaal the
Wo dabdaba wo satwat-e-shahana wo shabaab
Tharraa raha tha jiski jalalat se aaftaab
Wo raub-e-Haq ke sher ka zohra ho aab aab
Saulat me fard, Daftar-e-Jurrat mein intekhaab
Tevar me saare taur Khuda ke Vali ke hai
Shaukat pukaarti hai ke bete Ali ke hai
Pohanche jo dasht-e-kee'n me udhate huwe faras
Ghode ko haath uttha ke ye aawaaz di ke bas
Dekhe safe jami jo chap o raas o pesh o pas
Naara kiya ke neher pe jaane ki hai hawas
Rokega jo wo maut ke panje me aayega
Hat jaao sab ke sher taraai me jaayega
Roke hume nikal ke jo taaqat kisi me ho
Le tegh miyaan se jo shajaa'at kisi me ho
Garmaaye rakhsh ko jo haraarat kisi me ho
Aaye jo harb o zarb ki qudrat kisi me ho
Do haath mein Ali ke pisar waar paar hai
Darya nahi jo ruk gaya, hum Zulfiqaar hai
Tum kya pahaad beech me gar ho to taal de'n
Shero'n ko hum taraai se baahar nikaal de'n
Mohlat na ek ko dam-e-jung o jadaal de'n
Paani to kya hai, Aag mein ghode ko daal de'n
Muh dekhte hai jo hai nigehbaan ghaat ke
Le jaayei'n ghar pe tegh se darya ko kaat ke
Sarkash hai sab hamaari zabardastiyo'n se zer
Dada shuja hai, baap Ululazm, hum diler
Jab ran pada hai kar diye hai zakhmiyo'n ke dher
Laaye the jaake aag se paani Khuda ke sher
Afreet bhaagte hain wo chotei'n hamaari hai
Beerul Alam me kood ke talwaarei'n maari hai
Jurrat jilo me rehti hai nusrat rakaab me
Lete hai ghaat pair ke teghou ki aab me
Likkhe huwe hai shero ke hamle kitaab me
Faslei'n hain apne zor ki khaiber ke baab mein
Naasir hain Baadshah-e-Falak-Baargaah ke
Daftar ulat diye hain Arab ki sipaah ke
Be mashq ke bhare hume aata hai chain kab
Garmi me pyaas se kayi bachche hai jaa'n balab
Asghar ki godiyou me tadapte kati hai shab
Kya waqt hai Hussain ke bachchou pe hai ghazab
Laale pade hue ha Sakeena ki jaan ke
Kaante mujhe dikhaaye the sookhi zabaan ke
Ibrat ki ye jagaa hai ke hum aur sawaal-e-aab
Saqqaa bane hain dekh ke bachcho ka iztaraab
Is mashq ne kiya hume uqba me kaamyaab
Allah ri aabroo ke behishti mila khitaab
Sheh se nishaan-e-fauj-e-payambar bhi mil gaya
Toobaa ke saath chashma-e-Kausar bhi mil gaya
Ye zikr tha ke fauj ki jaanib se teer aaye
Naize uttha ke sher ke moo par shareer aaye
Ye bhi jhapat ke misl-e-Shah-e-Qillageer aaye
Geti hili ghazab me Janaab-e-Ameer aaye
Ghoda udha parou ko sawaaron ke tod ke
Lapti safou pe saif bhi kathi ko chhod ke
Toda ye morcha, ye saf ulti, udhar phire
Talwaar khoo'n me, aap paseene me tar phire
Yu khaak pe gira ke laeenou ke sar phire
Jaise shikaar khele hue sher-e-nar phire
Thi qehar ki nigaah, ghazab ka Jamaal tha
Aankhe bhi surkh surkh thi, chehra bhi laal tha
Beshak tha inka haath Ameer-e-Arab ka haath
Pohncha wighaa me sau taraf ek tashnalab ka haath
Aayi ajal uttha jo kisi be adab ka haath
Sher-e-Khuda ke sher ne maara ghazab ka haath
Aise jari se kisko majaal-e-masaaf thi
Yu phir ke saf ki saf ko jo dekha to saaf thi
Chalta tha misl-e-barq yameen o yasaar haath
Dar dar ke jodte the zalaalat shiyaar haath
Inki na ek zarb na unke hazaar haath
Kaafi the sab ko tegh-e-do dasti ke chaar haath
Aawaaz shashjahat me bageedo bazan ki thi
Allah ka karam tha madad Panjetan ki thi
Badh badh ke kaat ti thi wo talwaar haath paao
Dar se badha na sakte the khoo'nkhaar haath paavo
Sar bach gaya to ho gaye bekaar haath paao
Chamki wo yu ke aanth hue chaar haath paao
Roohei'n pukaarei'n sher phir aaya nikal chalo
Boli ajal, ab uth ke to panjou ke bal chalo
Pehne huwe the jism pe zirhei'n jo chust chust
Chotei'n kadi padei'n to huwe sab wo sakht sust
Khauf-e-ajal se bhool gaye waada-e-nakhust
Tooti safou me haath kisi ke na the durust
Ek shor tha ke jaan gayi is ladaai me
Ghode bhagaao, aag lagi hai taraai me
Maghfar na sar ke paas na khanjar kamar ke paas
Bete ke paas baap na beta pidar ke paas
Qabze ke paas tegh na dasta tabar ke paas
Kadiyaa'n zirha ke paas na daaman sipar ke paas
Abvi sinaan par thi na parcham nishaan par
Paikaa'n na teer par the na chille kamaan par
Allah re jung-e-sher-e-nayastaan-e-Karbala
Chooti bhi morcho mein na thi aadmi to kya
Pohnche taraai me to ye aada ko di sada
Kyon Ab ye neher kiski hai, aye qaum-e-ashqiya
Ek aan me shikast hazaarou ko dete hai
Dekho asad taraai ko youn chheen lete hai
Raste khule huwe hai kahaa hai wo bandobast
Kisne ye rom o shaam ki faujou ko di shikast
Kya ho gaye taraai se wo sab hawa parast
Kyo sar baland kaun hai is waqt, kaun past
Faujou me yu kisi ne bhi ghode udhaayei'n hain
Dekho to hum kahaa se kahaa ladte aaye hai
Dunya bhi ek taraf ho to hum pe zafar na paaye
Faaqou me sher bhi ho muqabil to muh ki khaaye
Kis dabdabe se jauhar-e-jung-e-Ali dikhaaye
Ab kuch alam nahi, ajal aaye ke jaan jaaye
Bas hum ne ghaat chheen liya, mashk bhar chuke
Shero ne jo zabaa se kaha tha wo kar chuke
Lab tashna teen din se hai aur hai furaat paas
Chaahei'n abhi to haath badha kar buhaayei'n pyaas Par zeher hai baghair Shah-e-Aasmaa Asaas
Marte hai aabru pe Ghulamaan-e-Haq Shanaas
Aaqa ki tashnagi pe jigar chaak chaak hai
Be inke aab-e-Khizr bhi howe to khaak hai
Farma ke ye samand ko daala furaat me
Goya-e-Khizr utar gaye aab-e-hayaat me
Daryadil aisa kaun hua Kayenaat me
Tasma pakad ke mashk bhari ek baat me
Seraab jab talak ke Shah-e-Behr o Bar na ho'n
Manzoor hai ke haath bhi paani se tar na ho'n
Darya se mashk bhar ke jo nikla wo nekh naam
Umdi siyaah ghata ki tarha sab sipaah-e-Shaam
Yu doob ke nikalta tha wo Aasmaa'n Maqaam
Zaahir ho jaise abr me chhup kar Mah-e-Tamaam
Maujei'n thi rood-e-Neel ki, faujo'n ka dal na tha
Par waah ri hawaas ke abru pe bal na tha
Ghere the ek jaan ko do laakh ahl-e-shar
Tehre kahaa'n, qaraar kaha'n le, thame kidhar
Chhati ke paas barchhiyaa'n, teghe qareeb-e-sar
Pehlu me is taraf to sinaanei'n, udhar tabar
Milti na thi amaa sipah-e-teera bakht se
Gosho'n se teer chalte the patthar darakht se
Jab mashk ki taraf koi aata tha san se teer
Kehte the Ya Hafeez kabhi gaah Ya Qadeer
Chilla raha tha Shimr-e-jafa pesha o shareer
Jaane na paaye Lakhte Dil-e-Shaah-e-Qillageer
Rukh is jari ka khaime ki jaanib se modh do
Haa'n barchhiyo'n se sher ke seene ko todh do
Sun kar zabaa'n daraazi-e-Shimr-e-sitam shiyaar
Abbas misl-e-sher jhapat'te the baar baar
Talwaare sainkdo thi, hazaaro'n the naizadaar
Todi agar ye saf to jami doosri qataar
Tanha sambhaale mashk o alam ya wigha kare
Balwa ho puri fauj ka jis par wo kya kare
Mash'hoor hai ke ek pe bhaari hai do bashar
Dar pe the ek jawaa'n ke liye laakh ahl-e-shar
Khaaye idhar se zakhm jo ki us taraf nazar
Kis kis ka waar rad kare dekhe'n kidhar kidhar
Jab dum liya to seene pe sau teer chal gaye
Pehlu ko tod tod ke naize nikal gaye
Seena sipar the mashk pe roke huwe the dhaal
Ladne me bhi Hussain ke bachchou'n ka tha khayaal
Kehta tha dagmaga ke faras par wo Khush Khisaal
Farzand ko sambhaaliye, Ya Sher-e-Zuljalaal
Jaa pohanchu mashk le ke jo thodi si raah ho
Aisa na ho ke pyaasou ki basti tabaah ho
Ye kehte the ke toot pada lashkar-e-shareer
Bas chur ho gaya pisar-e-Shaah-e-Qillageer
Aakar laga miyaan-e-do abroo pe ek teer
Tiora gaya Ali-e-Wali ka Mah-e-Muneer
Chhodhi jo bag paao faras ke bhi ruk gaye
Phaila ke haath mashk-e-Sakina pe jhuk gaye
Sheh daud kar pukaare ke aata hu Bhai Jaan
Ghar lut gaya hai khaak udata hu Bhai Jaan
Taaqat badan me ab nahi paata hu Bhai Jaan
Ek ek qadam pe thokarei'n khata hu Bhai Jaan
Dast-e-shikasta bete ki gardan mein dale hai
Bhaiyya hume to Akbar-e-Mehru sambhaale hai
Akbar ne Sheh ke haath pakad kar basad buka
Rakkhe chacha ke seene pe aur ro ke ye kaha
Leeje yahi hai laash-e-Alamdaar-e-Bawafa
Chillaye jhuk ke laash pe Sultan-e-Karbala
Tooti hui kamar hai sambhaalo Hussain ko
Bhaiyya zara gale se laga lo Hussain ko
Abbas haath kat gaye shaanou se hai ghazab
Reti pe do taraf hai tumhara lahu ye sab
Loota hume Rasool ki ummat ne be sabab
Bhaiyya humari jaan nikalti hai tan se ab
Mar jaayenge, jila do hume mu se bol ke
Do baate kar lo bhai se aankhou ko khol ke
Ghash me suni jo girya-e-Shabbir ki sada
Chauke tadap ke Hazrat-e-Abbas-e- Bawafa
Aahista ki ye arz ke aye Sibte Mustafa
Is pyaar ke nisaar, is ulfaat ke fida
Zeba hai nikle jaan agar peshwaai ko
Goya Rasool aaye hai Mushkil Kushaai ko
Ye keh ke roye, Sheh ki taraf ki nazar baghaur
Jhuk kar pukaare Shaah ke “Bhaiyya kaho kuch aur”
Tadpa qadam pe Sheh ke wo maqtool-e-zulm o jaur
Li hichkiya, bigadne lage tewarou ke taur
Pathra ke chashm-e-ashk fishaa'n band ho gayi
Tharraaye dono ho'nt, zabaa'n band ho gayi
Akbar ne arz ki ke chacha jaan mar gaye
Jhuk kar pukaare Shaah ke “bhaiyya kidhar gaye”
Mu to uthaao khaak se rukhsaar bhar gaye
Wa hasrataa, Hussain ko be aas kar gaye
Ab kaun dega dukh me Nabi ke pisar ka saath
Dum bhar me tum ne chhord diya umr bhar ka saath
Haa'n ro lo momino ke buka ka maqaam hai
Tum me shareek Rooh-e-Rasool-e-Anaam hai
Ab rukhsat-e-Hussain Alaihis Salaam hai
Tareekh aathwi hai, Moharram tamaam hai
Maut aayi to shareek-e-aza kaun howega
Jo saal bhar jiyega wo phir Sheh ko rowega
Aage tumhaare marte jo Abbas-e-Bawafa
Pursa na dete Sibte Rasool-e-Khuda ko kya
Tum sab ko dekhte hai Shahinshaah-e-Karbala
Zehra bhi nange sar hai, qayamat karo bapa
Samjho shareek-e-bazm Shah-e-Mashraqain ko
De lo jawaan bhai ka pursa Hussain ko
Peeto sarou ko hota hai ab marsiya tamaam
Lipto Zari-e-paak se keh keh ke “Ya Imaam”
Rukhsat talab hai baap se Akbar sa Laalafaam
Khamosh hai Hussain, nahi karte kuch kalaam
Maqtool zulm o jaur hai ab ran me Fatima
Hota hai Panjetan ka koi dum me khatima
Bas aye Anees rok le ab khaama ki inaa'n
Ye ghum hai jaa'n guzaa, na kabhi hoyega bayaa'n
Aankhou se saamaeen ke bhi ashk hai rawaa'n
Khaliq se arz kar ke aye Khallaq-e-Ins o Jaa'n
Aankhou se mas karu mai Mazaar-e-Batool ko
Dikhla de jald Marqad-e-Sibte Rasool ko
A Full marsiya of Hazrat Abbas
BY Meer Babar Ali Anees (khuda e Sukhan)