Pidar ki yaad me roti thi fatima zehra
Muh apna ashkou se dhoti thi fatima zehra
Na ek aan bhi soti thi fatima zehra
Alam se jaan ko khoti thi fatima zehra
Na chaah pani ki aur na gharaz thi khaane se
Tha kaam aankhou se qoon e jigar bahane se
Tha ek to baap ka gham aur ye huwi aafat Ke batne paak me mohsin ki hogayi rehlat
Bas aur ho gayi mehboos ranj o gham hazrat
Na ek aan bhi mouqoof hoti thi riqqat
Ye nouha tha na ziyada rulaaiye baba
Jaha'n hai aap mujhe bhi bulaaiye baba
Ye baat sun ke asadullah ko malaal hua
Jhukaaye sar ko makaa'n me gaye jo shere quda To dekha roti hai muh dhaanpe fatima zehra
Qareeb baith gaye aap bhi ba dardo buka
Qalaq e kamaal huwa yaad aagaye ahmed
Bada malaal huwa yaad aagaye ahmed
Huwi jo der to boli ye qud wo aashiq e rab
Kaho batool se jo kuch ho aap ka matlab
Bahake ashk ye kehne lage ameer e arab
Shikaayat aap ke rone ki karne aaye hai sab
Alam me baap ke jaa'n ko na khoiyo zehra
Hai shaaki ehle mohalla na roiyo zehra
Meri taraf se ye un sab se ya ali kehdo
Qasoor hogaya aye saahibo ma'aaf karo
Yaha na roungi eeza jo hoti hai tum ko
Qareeb hai meri rehlat qafa na ho logo
Gham e pidar ki na bardaasht laayegi zehra
Nabi ke paas bohat jald jaayegi zehra
Gayee makaan ko humsayiou ke aur kahaa
Behal ho saahibo jo kuch huwi hai mujh se khata Aur ek karti hai tum se ye ilteja Zehra
Mere yateemo pe shafaqat ki tum nazar rakhna
Jaha me sath ab inka hai aur tumhara hai
Wida saahebo tum sab se hoti Zehra hai
Na jaan kar inhe bin maa ka koi jhidkae
Har ek godh me shafaqat se apni bithlaae
Na bachpane me khuda maa ka daagh dikhlaae
Wahi ye dard samajhta hai jo ye gham paae
Sagheer sin me bada hota hai alam maa ka
Dilou ko karta hai nazuk kamaal gham maa ka
Jab aayi bait e sharaf me rasool ki jaayi
Pisar jo saamne aaye na dil ko taab aayi
Jo dhoke rakhhi thi poshaak inko pehnaayi
Bithaa ke godh me har ek ki zulf suljhaayi
Gale laga liya muh aansu'ou se dhone lagi
Qayaal aaya bidaayi ka jab to rone lagi
Ali se kehne lagi phir baha ke ashke batool
Chale jaha'n se ab hum to aye wasiye rasool
Hawaale aapke hai ye mere chaman ke phool
Malool hoyegi zehra jo hoyenge ye malool
Alam me mere na inko bhulaaiyo saaheb
Hamesha seene pa apne sulaaiyo saheb
Kabhi jo roye meri yaad me na jhidkaana
Bitha ke pyar se godhi me apni samjhana
Mere mazaar pe fursat ho gar to le aana
Tum apne hath se inko khilaaiyo khana
Hai aap jaante haajat nahi hai kehne ki
Hussain ko nahi aadat hai bhooke rehne ki
Haram me peetne rone ka ghul huwa barpa
Ali ne fatima ko ghusl deke kafnaaya
Janaza leke chale ghar se jab shahe waala
Haram pukaare khuda hafiz aye aseer e bala
Na aaya sabr chali haye fatima zehra
Basaane qabr chali haye fatima zehra
Ye haal zainabo kulsum ka nazar aaya
Jaha'n pe Fatima Zehra ka tha rakha laasha
Wahan pe lot'ti hai sar khule ba dardo buka
Bayaa'n hai kya huwi ae amma jaa'n hum se khafa
Bahaane ashk humain soone ghar me chhod gayi
Qusoor kya huwa hum se jo muh ko modh gayi
Jo dekha baap ko aate huwe ba chashme tar
Qadam pe gir ke pukaare ke kya huwi maadar
Hamaari hoyegi kis tarha soone ghar me basar
Kaha pe chod ke amma ko aaye bolo pidar
Basaaya qabr ko veeran ye makaan kiya
Hamare rone ka amma ne kuch na dhyaan kiya
Laga ke betou ko seene se ali ne kaha
Batool dekhti ho haal apne bachou ka
Tumhi yateemo ko apne manao aake zara
Na mujh se sambhlenge bache tumhare aye zehra
Ab aake seene se apne lagalo bachou ko
Kaha ho fatima zehra sambhalo bachou ko
Tumhara hujra e qaali mujhe rulaata hai
Qayaal aake tumhara bohat sataata hai
Tumhare bachou ka kehna ghazab ye dhaata hai
Kaha'n hai maa ko bula deeje houl aata hai
Tumhari tarha se kis tarha naaz uthaau mai
Kaho yateemou ko kya keh ke ab manaau mai