qaid se jab pisare muslim-e bepar choote
bekaso be watan o aajizo muztar choote
baad ek saal ke wo dono baradar choote
chote se sin me bade ranj uthaakar choote
doudte the kabhi ghabraake kabhi girte the
shab-e taarik me do chand pade phirte the
roke kehta tha bade bhai se chota har dam
baith kar ab kahi'n dam lelo nahi uth'te qadam
doudte doudte seene me samaata nahi dam
manzilo chalne se bhai kabhi waaqif nahi ham
baap ke saath to raahat se idhar aaye the
taaba kufa hame godi me pidar laaye the
is se kehta tha bada bhai bachashme giryaa
tum meri god me aao mai tumhare qurbaa'n
baap ke waqt ki raahat ka bhala kya ho bayaa'n
ab to ham bekaso tanha huwe baba hai kaha'n
jo muqaddar me hai wo joro jafa dekhenge
kya qabar thi ke yateemi ki bala dekhenge
nagaah charq par zaahir huwe aasaare saher
subha ke hote hi faqh hogaye wo rashke qamar
dekha ek chashmaye sheeri ke kinare pa shajar
jaake is naql me panah huwe muslim ke pisar aur raahat na kahi'n gesuo'n waalo ko mili
aman ki jaa’n wahi'n in taaza nihaalou ko mili
aftaaba liye waarid huwi wa ek zane peer
ek jaa'n us ko nazar aagaye do maahe muneer
is ka mu dekh ke ghabra gaye wo tifle sagheer
tab zayeefa ne qareeb aan ke ye ki taqreer
ye to mai samjhi ke aawara watan ho dono
koun se baagh ke tum guncha-dahan ho dono
roke wo bole ke kya haal kahe aye madar
ham hai gurbat zada o bewatan o qasta jigar
ma to yasrab me hai kufe me huwe qatl pidar
baap hota to ye dukh kaaheko padta hampar
do do din tak nahi ghurbat me ghiza milti hai
na to mout aati hai na amn ki jaa’n milti hai
tu ne ro ro ke jo ehwaal hamaara poocha
maa ki shafqat hame yaad aagayi is dam ba quda
sahebe dard hai de-ve tujhe allah jaza
gir ke qadmou pe pukari ke ye laundi ho fida
samjhi mai burje imaamat ke sitaare ho tum
hai ghazab muslim-e mazloom ke pyaare ho tum
taa'ate haq se yateemo ne jo fursat paayi
maa hazar saamne dono ke zayeefa laayi
din to raahat se kata shaam musibat aayi
so gaya hujre me bhai se lipat kar bhai
nisf shab thi ke wo maloon wo bad anjaam aaya
neend yaa'n aayi waha mout ka paighaam aaya
kehke ye gusse me bistar pa gira wo ghaddar
aagaya qaabe ajal dushmane dee'n ko ek baar
wa qazaara huwe hujre me wo ladke bedaar
chote bhai ne bade se ye kaha ba-dile zaar
qwaab me syed-e loulaakh ko dekha maine
abhi baba ke ruqe paak ko dekha maine
roke usdam ye bade bhai ne chote se kaha
maine wallah yahi qaab abhi dekha tha
kehke ye roye gale milke basad aaho buka
aamad-e marg huwe qaab se haaris chounka
poocha maadar se yaha aao buka kaisi hai
ghar ke hujre me ye rone ki sada kaisi hai
boli ghabrake zayeefa tujhe in baato se kya
so bhi reh tu koi hamsaya me rota hoga
nangi talwar liye haat me zaalim uttha
jaake dailaan ke darwaaze ko jaldi khola
dar ke khulte hi ajab tarha ka aalam dekha
ek ghar me maye khursheed ko baaham dekha
tegh uthakar ye kaha kis ke ho tum noor-e nazar
dar ke vo bole ke hum dono hai muslim ke pisar
tere mehmaan hai talwaar alam ham pe na kar
ye suqan sunte hi douda wo laee’n bad'aqtar
dono bachho'n pe jhuka teghe jafa jo pakde
ek ka haath aur ek bhai ka gesu pakde