ran me jab sheh ki taraf se hurr-e- dee'ndar aaya
kis bashashat se udaataa huwa rehwaar aaya
ghul huwa syed-e-mazloom ka ghamqaar aaya
jaa'n nisaare qalafe hyder-e karrar aaya
tattaqe noor sare raah nazar aata hai
jalwa-e qudrat-e allah nazar aata hai
ye suqan sunke pukara pisar-e saad-e shareer
haan tarafdaar-e shah-e dee'n pa chale naiza-o- teer
leke harbou'n ko badha fouj ka amboh kaseer
fateha padh ke jawa'n mard ne khainchi shamsheer
hur ka mu surq huwa fouj-e- sitam zard huwi
shola-e- tegh se bijli ki chamak gard huwi
badh ke farmate the abbas zahe izzat-o- jaah
baarek allah ki deta tha sada dilbar-e shah
kahte the ibn-e- hasan waah hur-e-ghaazi waah
shah har zarb pa farmate the mashallah
apni jaa'n-baazi ka ghaazi jo silaa paata tha
muskurata huwa tasleem ko jhuk jaata tha
haif jhukne me layeenou ne jo fursat paayi
saamna chod ke sab fouj aqab se aayi
laakh qoo'n rez idhar aur udhar tanhaayi
baag ghode ki phiraata tha ke barchi khaayi
aagaya maut ke panje me na kuch der lagi
farq par gurz laga dosh pa shamsheer lagi
seena ghurbaal huwa teer chale aadaa ke
rakhdiya sher ne qarbooz pa sar nyoda ke
ali akbar ne ye hazrat se kaha chilla ke
gar ho irshaad to mehmaa'n ko bachaau'n jaake
qaadim-e- hazrate zehra-o- ali girta hai
qaak par ab wo saeed-e- azali girta hai
shaah rone lage ye sunte hi mehmaa'n ki qabar
hogayi aansuou'n se resh-e- mubarak sab tar
ali akbar se kaha tum abhi tehro dilbar
hur ki imdaad ko ham jaayenge aye noor -e nazar
kis se is waqt kahu mai jo qalaq mujh par hai
laash uthaaunga ke mehmaan ka haq mujh par hai
ye suqan keh ke chale ran ko janab-e- shabbir
waa'n gira qaak pa ghode se hur-e- ba touqeer
dekh kar shaah ko aate huwe bhaage be peer
pohnche laashe pa imam-e- do jahan waqte aqeer
chaman-e- hasti-e- mehma'an ko ujadte dekha
qaak pa ediyaa'n zaqmi ko ragadte dekha
girke laashe ke baraabar ye pukaare sarwar
mera mehmaa'n-o- madadgaar-o- moin-o- yaawar
gurz kya tujhko laga toot gayi meri kamar
girpada ghode se aur aah na ki hamko qabar
dost ke hijr me kab dost ko chain aaya hai
kholde chashm ko bhai, ke hussain aaya hai
neem waah chashm se hur ne ruq-e- moula dekha
zeere sar zanu-e-shabbir ka takiya dekha
muskura kar taraf-e- aalam-e-baala dekha
sheh ne farmaya ke aye hur-e- jari kya dekha
arz ki husn-e ruq-e hoor nazar aata hai
farsh se arsh talak noor nazar aata hai
mujh ko lene chale aate hai farishte ya shaah
malakul maut bhi karta hai mohabbat ki nigaah
quld se sher-e-khuda nikle hai allah allah
lo baramad huwe shabbar bhi pidar ke hamraah
nange sar ahmed-e- muqtar ki pyari aayi
dekhiye aap ke nana ki sawaari aai
kehke ye godh me shabbir ke li angdaayi
aaya maathe pa araq chahre pa zardi chaayi
sheh ne farmaya hame chod chale kyu bhai
chal base hur-e- jari phir na kuch aawaz aayi
taair-e rooh ne parwaaz ki toobaa ki taraf
putliyaa'n rehgayi phir kar shah-e- wala ki taraf
roke akbar ne kaha hur-e-dilawar hai hai
aye madadgaare jigar bande payambar hai hai
qoo'n me sab tar hai tera roohe munawwar hai hai
tashna-o bekas-o mazloom ke yaawar hai hai
idhar aana tha ke teri ajal aayi bhai
ghar me sadaat ke dawat bhi na khaayi bhaai