pidar ki mout hai marna jawaan bete ka
safar jahaan se karna jawaan bete ka
ghazab hai khoon me bharna jawaan bete ka
sitam hai ji-se guzarna jawaan bete ka
shabaab tha ke shah-e- mashraqain se choote
mohibbo peeto ke akbar hussain se choote
quda pidar ko na dikhlaaye marge raahat-e jaa'n
kaleja zaqmi ho jab dil ko phir qaraar kaha'n
udhar to sina-e akbar se guzri nok-e sinaa'n
lahu idhar huwa chasm-e imaam-e- deen se rawa'n
tadap ke janib-e gardoo'n nigaah ki shah ne
zaameen hilgayi ek aisi aah ki shah ne
pukarte huwe doude mere shaheed pisar
mere jawa'n mere mehroo mere saeed pisar
mere hasee'n mere yousuf mere rasheed pisar
qareeb ho kahi'n maida'n se ya baeed pisar
pidar pa aaj nayi waaredaat hai beta
qabar nahi mujhe din hai ke raat hai beta
kidhar gaye mere gulpairahan ali akbar
mere qaleeq mere kamsuqan ali akbar
jawana marg gharibul watan ali akbar
ujaad kar gaye mera chaman ali akbar
bula ke ghar se yaha'n ashqiya ne loot liya
duhayai hai ke mujhe karbala ne loot liya
pukaarte the ke aye sher phir pukaar mujhe
nahi batane ke laasha ye naabakaar mujhe
tere firaaq me hai zeest naa gawaar mujhe
sadaa sunaade mai sadqe phir ek baar mujhe
gale lagaalo ke seena hamara jalta hai
kaleja mu se koi dam me ab nikalta hai
pukari deodi se bano pisar mila ke nahi
bataao marham-e zaqme jigar mila ke nahi
sitam ke abr me mera qamar mila ke nahi
ali ke laal wo aali gohar mila ke nahi
shitaab laao mere mannattou ke paale ko
tumhi se loongi mai apne muraad waale ko
ye zikr tha ke sada aayi door se nagaah
janaab –e- qibla –o- kaaba ab aaiye lillah
huzoor haal se bete ke kya nahi aagaah
zabaan ainth gayi hai ghulaam ki ya shah
ukhad raha hai dam ab mout jaan leti hai
pukaarne ki bhi taaqat jawaab deti hai
sadaa ye sunte hi sultaan-e- bahrobar doudhe
ye darde dil tha ke thame huwe jigar doudhe
kabhi to fouj pa maaninde sher-e- nar doudhe
kabhi idhar gaye rote kabhi udhar dowdhe
luti huwi wo kamaayi basad talaash mili
zamee'n pa qoon me ghaltaa'n pisar ki laash mili
ajeeb haalate farzand-e- noujawaa'n dekhi
atash se honto'n pa nikli huwi zabaa'n dekhi
qamar se chehre pa zardi labo'n pa jaa'n dekhi
kaleja phat gaya seene me jab sinaa'n dekhi
pidar ke saamne bete ka dam ukhadta tha
hussain dekhte the aur ghar ujadta tha
qareeb lash-e- pisar baith ke ye farmaaye
zameen-e- garm se beta utho ke ham aaye
sadaa ye sunte hi akbar ne haath phailaaye
lipat ke laash se shah lab pa ye suqan laaye
gale lagalo mohammed ka mai nawasa hoon
zabaa'n dikhake kaha ya hussain pyaasa hoon
ye keh ke shaah se khainchi ghareeb ne ek aah
jigar me hone laga dard aah ke hamraah
ajeeb yaas ki nazro'n se dekh kar ruq-e- shaah
kaha ke ash hadu an laa ilaaha illallah
bas aur keh na sake kuch ye haale ghair huwa
sue behisht gaye qatema baqair huwa