jab qatl kiya nahar pa saqqa-e- haram ko
bhaai ka diya daagh shahinshaah-e umam ko
paani na diya pyaas me us bahr-e- karam ko
tha shor ke ab qouf kisi ka nahi'n ham ko
ghaazi ko jigar band-e- yadullah ko maara
abbas ko kya qatl kiya shaah ko maara
aada to ye kehte the shah-e-dee'n ka ye tha haal
tar aansuo'n se hota tha rumaal pa rumaal
farmaate the kya hogaye abbas-e- qush iqbaal
dunya me nahi jeene ka ab fatima ka laal
bin bhai basar hogi na ek aan hamaari
abbas ke maatam me gayi jaan hamaari
bekas huwe ab koi nahi hamdam-o- yaawar
paaenge kaha'n aisa wafaadar baradar
bar aaye kahi'n aarzu-e- sibte payambar
jaldi meri gardan pa chale zulm ka qanjar
dushman pa bhi ye aalam-e- tanhaai na howe
jeene ka mazaa khaak hai jab bhaai na howe
ye kahke tadapne lage sultan-e- do aalam
barpaa tha ajab qaima-e- shabbir me maatam
chillati thi zainab ke jigar phat-ta hai is dam
bhaai ke alam me na jiyenge shah-e- akram
andher jaha'n hai jo alamdar nahi hai
koi mere bhaai ka madadgaar nahi hai
samjhaake use ran ko chale jab shah-e- abraar
doudi aqab-e- shaah sakina jigar afgaar
chillai ke baba mujhe yaa'n chodho na zinhaar
dikhlaado mujhe laasha-e- abbas-e- alamdar
paani na mila margaye wo qoo'n me naha kar
mai roungi ab laasha-e- abbas pa jaakar
dekhaa jo use shaah ne ba deeda-e- giryaa'n
kahne lage beti se basad naala-o- afghaa'n
maare na koi teer tumhe dushman-e- imaa'n
chalna tera laashe pa munaasib nahi is aa'n
wo kahti thi mai ji se guzar jaaungi baba
waa'n leke na chaliyega to marjaaungi ba ba
aaqir use darya ki taraf leke chale shaah
yu kahne lage fouj se badh kar kayi gumraah
kya qasd hai jaate ho kidhar aye shah -e- zeejaah
darya pa wo maare gaye thi jinki tumhe chaah
paani ke liye laakh jawaanou'n se lade hai aur haath kataaye huwe reti pa pade hai
naagaah nazar aaya unhe laasha-e- abbas
chilla ke kaha haaye ham ab hogaye be aas
pohanhenge na tum tak tha yahi bhaai ko waswaas
ab koun bujhaayega sakina ki bhala pyaas
haathou'n ke tasadduq tan-e- sad paash ke sadqe
aye jaan-e- baradar mai teri laash ke sadqe
aankhou'n ko zara kholo to qurbaan ho bhaai
qaime se sakina tumhe lene ko hai aayi kyu ret me ye chaand si surat hai chupaai
sar peet ke tab kehne lagi shaah ki jaai
hai hai mujhe surat nahi dikhlaate hai ammu
mai pyaasi rahi isliye sharmaate hai ammu
tadpi jo ye keh keh ke sakina jigar afgaar
tharrane laga laasha-e- abbas-e- alamdar
laashe se lipat kar ye pukaare shah-e- abrar
sadqe teri ulfat ke hussain aye mere ghamqwaar
rone na diya tha kabhi is tashna dahaa'n ko
tharrathe ho ab sunke sakina ki fughaa'n ko
qaatoon-e- qayamat ki sada itne me aai
maara gaya hae hae mere shabbir ka bhaai
farzand se farmaya ye de de ke duhaai
pursaa tumhe deti hai ye gardoo ki sataai
shabbar bhi basad dard-o- bukaa peet rahe the
laashe ke qaree'n shere quda peet rahe the
ye sunke tadapne laga abbas ka dildaar
chillaya ke ab hogaye ham bekas-o- naachaar
ham jeete rahe qatl huwa shaah ka ghamqhaar
ta hashr na ab dekhenge ham baap ka deedaar
is umr me kya zulm-o- sitam hogaye hae hae
faryaad ke bin baap ke ham hogaye hae hae