jab qaatema ba qair huwa fouj-e shaah ka
kousar pa qaafila gaya pyaasi sipaah ka
ghar lutgaya janaab-e risalat panaah ka
qaak udh rahi thi, haal ye tha baargaah ka
bhaai the, na rafeeq, na wo noor-e ain the
do behne rone waali thi aur ek hussain the
farmaate the ke waah ye taaqeer hai ajal
akbar ke baad kounsa tha zeest ka mahal
ab mujhko ek baras ke barabar hai ek pal
mout aaye ab ye hai shajar-e zindagi ka phal
ek jaa churi galo'n pa jo chalti to qoob tha
ye jaan unke saath nikalti to qoob tha
ham sab ke baad qalq se jeene ko reh gaye
sar peetne ko ashk bahaane ko reh gaye
is noujawaa'n ka daagh uthaane ko reh gaye
peeri me aah thok-re khaane ko reh gaye
beta kaha'n qabar jo dam-e inteqaal le
itna nahi koi ke giru, to sambhaal le
naagaah soo-e laash-e pisar jaa padi nazar
chillaye dil ko thaam ke sultaan-e behro bar
sote ho kya dhare huwe ruqsaar qaak par
akbar utho ke ghode se girta hai ab pidar
bhoole pidar ko neend me qurbaan aap ke
aao namaaz-e asr padho saath baap ke
abbas-e namdaar taraayi se uth ke aao
phat- ta hai qalb, jal rahe hai sab jigar ke ghaao
chidko meri ziraa pa jo paani kahi'n se paao
chalte huwe adam ke musafir se milte jaao
ghaflat ki tum ko neend hai shabbir kya kare
meri tarha kisi ko na bekas quda kare
chillaya fouj ko pisar-e saad-e naabekaar
lo gher lo hussain ko sab milke ek baar
palte pare sawaaro'n ke lekar risaaladaar
do ghoul baandhe aaye kamaa'ndar das hazaar
teerafghano'n me, tegho'n me, bhalo'n me ghir gaye
bekas hussain barchiyo'n walo'n me ghir gaye
syed ke martabe ko na jaana hazaar haif
teero'n se sadr-e paak ko chaana hazaar haif
shaane the naawako'n ka nishana hazaar haif
mazloom ka wo barchiyaa'n khana hazaar haif
toote the sab rasool ke pyaare hussain par
kya waqt padh gaya tha tumhaare hussain par
girte hai aap aur sambhaale koi nahi
seene se koun teer nikaale koi nahi
sab mar chuke hai chaahne waale koi nahi
bejaa'n pade hai godh ke paale koi nahi
bekas hai aap zor sipaah-e adu ka hai
mu jis ka dekhte hai wo pyaasa lahu ka hai
fizza ne jaake qaime me bewo'n ko di qabar
hae hae mere quzaade ka kat-ta hai tan se sar
bistar se uth ke gir pade sajjad-e- nouhagar
qaime se nikli bibiyaa'n bacho'n ko chod kar
hilta tha arsh hazrat-e zainab ke bain se
gir gir ke doudhti thi ke mil li hussain se
chillati thi are mera bhaai hai kis taraf
looti huwi ali ki kamaayi hai kis taraf
darya kidhar hai qoo'n ka taraayi hai kis taraf
sone ki jaa hussain ne paayi hai kis taraf
rasta de aye zamee'n ke falak ki sataayi hoo'n
mai apne pyaare bhaai se milne ko aayi hoo'n
mai syeda hoo'n raham karo laash ko bataao
aye ahl-e qirya bint-e ali ki madad ko aao
dunya me tum khushi raho uqba me chain paao
syed kidhar hai qoon me ghaltaa'n bataate jaao
yaa'n lut gaye falak ne ye dukh ham pa daale hai
aye bhaaiyo madine ke ham rehne waale hai
sheh ke karaahne ki jo aane lagi sadaa
doudhi udhar nabi ki nawaasi barehna paa
dekha behen ne kat-te huwe bhaai ka gala
aankho'n pa haath rakh ke giri bint-e murtuza
gham se kaleja phat gaya zehra ki jaayi ka
utthi to dekha naize pe sar apne bhaai ka