zindaan-e gham tha moosa-e kaazim ke waaste
taaza sitam tha moosa-e kaazim ke waaste
aaraam kam tha moosa-e kaazim ke waaste
behad alam tha moosa-e kaazim ke waaste
chut kar pidar se haamile ranjo alam rahe
paabande hukm haq ke imaam-e zaman rahe
be-dil tha inqelaab-e jaha'an se shah-e anaam
dunyaa-e dee'n ke naam se nafrat rahi madaam
beshak saraa-e daher hai ibrat fizaa muqaam
hai subha ko saba'at na kuch etebaar-e shaam
gar noor ka amal kabhi zulmat ka dour hai
din ki kuch aur shaam ki haalat kuch aur hai
pyaara bahot tha jaafar-e saadiq ko apna maah
hazrat ke baad abr-e sitam ne na di panaah
noor-e quda se phir gaye aadaa-e rusiyaah
izz-o sharaf me shah ke na thi jaa-e ishtebaah
dil mutmaee'n tha rahmat-e haq ke nuzool se
seena bhara huwa tha uloom-e rasool se
hallale mushkilaat ke waaris imaam-e dee'n
maalik har aasmaan ke muqtaar-e har zamee'n
farmaa rawaa-e mulke vilaayat ke jaanashee'n
mash'hoor do jahaa'n me jahaa'n daare haftamee'n
aate the kis adab se malak baargaah me
hyder ka taqt-o taaj tha sarkaar-e shaah me
saadaath ko rayiso'n ko naame kiye raqam
jaahil ne bheje khat ulama ko bhi ek qalam
mazmoo'n ye tha ke makke me aaye arab ajam
iqraar me karam hai aur inkaar me sitam
maanenge hukm jinko alaaqa hai deen se
baiyyat kare sab aake mere jaanasheen se
hargiz mujhe itaa'ate kaazim nahi qubool
main chaahta hu qaid karu unko ya rasool
rakhta hai iski zaat se khatka ye dil malool
barpa huwa fisaad to phir isse kya husool
tadbeer wo karu mai ke qissa hi paak ho
aisa na ho huzoor ki ummat halaak ho
tha rouza-e rasool me sultaan-e inso jaa'n
mashghool tha namaaz me wo haadiye jahaa'n
pahonche malaazemeen e sitamgar ke naagahaa'n kyu kar mai zaalimo'n ki shifa'at karu bayaa'n
nargha siyahkaarou'n ne ekbaar karliya
us aa huwe haram ko giraftaar kar liya
hai haath khainchte huwe jab le chale shaqi
faryaad shah ne ki taraf-e turbat-e nabi
rokar kaha ke dekhiye qaadim ki bekasi
kya zulm mujh pe karti hai ummat janaab ki
darte nahi ye log quda-o rasool se
rakhte hai bughz nasl-e ali-o butool se
haaroon ka tha hukm ke ho qatl-e shaah-e dee'n
chal sakti thi na haamil-e basra ki tegh e kee'n
haalat wo dekhta tha ke dil us ka tha hazee'n
sajde me rehti thi shah-e abraar ki jabee'n
karte the sabr apne buzurgou'n ki shaan se
nikli na zaalimou'n ki shikaayat zabaan se
ye kaar-e saqt aur kisi ke supurd kar
warna reha karoonga mai syed ko beqatar
ghabraaya padh ke khat ki ibaadat ko ahl-e shar
baaz aaya zulm se na sitamgaar o bad gohar
basre se bewafaa ne bula bheja shaah ko
baghdaad me aseer kiya begunaah ko
ghamqhwar qaid khaane me thi shaahe zuljalaal
sajdou'n ko tool dete the sultaan-e qush qisaal
faaqou'n se ghul gaya tha badan zouf tha kamaal
uthna tha naagawaar naqaahat ka tha ye haal
samjha nigaah jis ki padi jism-e paak par
kapda pada huwa hai koi farsh-e khaak par
aaqir tadap tadap ke musaafir guzar gaya
mazloom qaid qaane ko veeraan kar gaya
hyder ke paas waaris-e qairul bashar gaya
baghdaad me madine ka sultan margaya
saama'an tha kya nabi ke yagaane ke waaste
mazdoor aaye laash uthaane ke waaste