nargha hai dilbar-e- hassan-e- sabz posh par
chaaro'n taraf hai teero'n ki bouchaar josh par
dil par sinaa'n ka zaqm hai pahlu pa dosh par
sehre ki sab kati huwi ladiyaa'n hai dosh par
talwar ran me dulhe ka mu qoo'n se dhoti hai
qaime me ghul hai aaj dulhan beva hoti hai
beh beh ke qoo'n tapakta hai har baar haath se
zaqmi hai nikli jaati hai talwaar haath se
ab kya kare nabard hai paikaar haath se
chooti enaan-e aspe wafaadar haath se
qoo'n bahgaya jahaa'n se mu modhne lage
gir kar zameen-e- garm pa dam todhne lage
sar kaatne udhar se badhe fouj ke sawaar
doudhe idhar se shaah alam karke zulfeqaar
the saath saath akbar-o- abbas-e- naamdaar
dehshat se teen shero'n ki bhaage sitam sheyaar
majrooh natawaa'n ka ajab haal hogaya
ghodo'n se jism dulha ka paamal hogaya
rone lage imaam-e- umam dekh kar ye haal
laasha uthaa ke le chale aaqir basad malaal
ek do qadam badha tha rasool-e- quda ka laal
hichki jo aayi margaya hai hai wo qushqisaal
godi me sheh ki phool se kumlaa ke rahgaye
baazu lahu bhare huwe tharra ke rahgaye
fizza ne dekha sheh ko jo aate huwe idhar
qaime ke sahan se ye pukari ba-chashme tar
saidanio'n uroos se hushiyaar-o- ba qabar
deodhi tak aayi maadar-e- noushaah nouhagar
faaqo'n se hai nidhaal qadam ladkhadaate hai
masnad bichaao dulha ko shabbir laate hai
haalat hai gham se ghair shah-e- qushqisaal ki
hai hai jawaani qasim-e- yousuf jamaal ki
poshaak qoo'n se surq hai is nou nehaal ki
aao baraat dekhlo shabbar ke laal ki
rone ka shor charq pa jaata hai saahibo
dulha chacha ki god me aata hai saahibo
doudhe haram idhar se khule sar barahna paa
qaime me aaye laash liye shaah-e- dosaraa
naamoos me qiyaamate kubra huwi bapaa
waa qaasima ki charq pa jaane lagi sadaa
bahne'n qareeb aagayi aansu bahane ko
phailaaye maa ne haath gale se lagaane ko
qaime tak aaye sab haram-e- paak nouha gar
laasha litake rone lage shaah-e- behrobar
abbas peetne lage haatho'n se apna sar
akbar ka paas rakh diya sehra lahu me tar
taazeer haal maadar-e- ghamnaak hogaya
seene ke zaqm dekh ke dil chaak hogaya
fizza ne baandha hujre ka parda basad malaal
laaye dulhan ko thaam ke bano-e- qushqisaal
mitti bhari thi maang me kubra ka tha ye haal
mai-li si chaadar odhe huwe khole sar ke baal
dikhla ke zaqm sab jasad-e- paash paash ke
bithla diya uroos ko pahlu me laash ke
jis dam dulhan ne dulha ke zaqmo'n pa ki nazar
kaampa kaleja ashk bahe shaq huwa jigar
qadmo'n ki simt jhuk ke ye boli wo nouhagar
saaheb utho ham aaye hai laashe pa nange sar
khole hai baal bekas-o- naalaa'n ko dekhlo
tum bhi hamare haal-e- pareshaa'n ko dekhlo
saaheb bataao kya mai aseer-e- mehan kahoo'n
bekas kahoo'n, ghareeb kahoo'n, bewatan kahoo'n, majroo kahoo'n mai aap ko ya bekafan kahoo'n
dulha kahoo'n ke aapko ibn-e- hassan kahoo'n
kya kehke ro-u koi batataa nahi'n mujhe
tazaa dulhan hoo'n bain bhi aata nahi mujhe
fizza ne laake itne me randsaala rakhdiya
dulha ki maa ne haath me usko uthaa liya aur boli isko pahno ye qillat hai beva ka
kubra ne sar ko peet ke aur roke ye kaha
ab kyu'n libaas bevon ka mujh ko pinhaate hai
dulhan banake kya koi bevaa banaate hai