musafero'n ki madine me jab raseed aayi ke waadagaah me fouj-e-shahe saeed aayi
raseed aate hi sughra ke ghar me eid aayi
tap-e- kohan gayi aur taaqate jadeed aayi
malaal door huwa aish ke qareene se
buqaar nabz se, gham dil se, dard seene se
gharaz ke hazrate ummul banee'n ko bulwaaya
wo aayi to sare tasleem uth ke nyodaaya
wo has ke boli ke kyu yaad mujh ko farmaya
kaha mareez ne qush ho ke sheh ka khat aaya
hamare dil ko faqat naamabar ne chain diya
mohammade hanafi ko qate hussain diya
ye kahke madar-e- abbas ko liya hamraah
mohammed-e- hanafi ke ghar aayi duqtar-e- shaah
wo muntazar the liye naama-e shah-e zeejah
salaam karte hi kahne lagi ba naala o aah
lo ab sunaao imam-e- ghareeb ka naama
padho mareez ke aage tabeeb ka naama
mohammed-e hanafi ne kiya lifafe ko wa
nikala shuqae purnoor syed-ush shohdaa
padha jo naame me alqaab apna roke kaha
hussain tere karam par mai laakh jaa'n se fidaa
kahaa'n main tera baradar baja'n baraabar hoo'n
tu jaane qatme rasul hai, main ibn-e- hyder hoo'n
aqi ka lafz jo alqaab me mere likkha
faqat ye banda nawazi hai ya imam-e- huda
tera ghulam hai abbas, mai ghulam uska
hazaar haif qadam se huzoor ke hoo'n juda
liya jo naam-e- judayi to aansu bahne lage
salaam padh ke alaikas salaam kahne lage
kaha ye fatima sughra se tab ba deeda -e- tar
likha hai baap ne tum ko ke aye meri duqtar
dua ke baad ho maloom meri noor-e- nazar
koi ghadi nahi ghafil teri taraf se pidar
qalaq hai sadma hai, ranj-o malaal hai sughra
adu ke narghe me zehra ka laal hai sughra
wafoor-e- fikr se sughra jo saqt ghabraayi
chacha ka apne qalamdaan wo utha laayi aur iltemaas kiya aye hussain ke bhaai
mujhe to hai naatawaanaai aur naabeenai
meri taraf se wo alqaab likho baba ko
kanize'n likhti hai jis tarha apne aaqa ko
ghareeb parwar-o-aalam nawaaz-o qalq-e-khuda
malak sipaahe falak bargah-e- shahinshah
imam bekas-o mazloom o be dayaar-o tabaah
qaleel kaaba-e- dee'n yousuf-e- rasoolallah
ajal rasidou ke eesa, gharibou'n ke waali
hussain ibn-e- ali mudde zillahul aali
pas az shuroote qadam bousi baad taslimaat
likho zabanie sughra ke aye shahe qush zaat
main tum se choot ke jaa'n kanii me hoon din raat
na aarzu-e- shifa hai, na ab umeede- hayaat
nahi kisi ko tawaqqo ke ab teher jaaun
tum aake sura-e yaseen padho to marjaaun
rajab ki teesri ko tum ne ghar kiya veera'n
tumhare baad huwi teen eide'n baba jaa'n
shab-e barat huwi doosre mahine ayaa'n
barooh-e hamza na thi fateha ki taab-o- tawaa'n
tamaam aah tadapte tadapte raat huwi
hamare ghar me na eid-e- shabe baraat huwi
wo eid to gayi din eid-e- fitr ka aaya
ghar aankar mujhe hamjoliyou ne rulwaya
kisi ne gehna, kisi ne libaas dikhlaya
koi ye boli ke eidi me ham ne ye paaya
har ek qush tha magar mere lab pa naale the
safar me sab meri eidi ke dene wale the
nazar me phirta hai eide guzishta ka aana
wo eidgaah me akbar ka dhoom se jaana
bahan ke waaste mewe qarid kar lana
wo amma bano ka har dam gale se liptaana
bajabr ab to baghal geer jis se hoti hoo'n
bahan sakina ko main yaad karke roti hoo'n