aaj imaam-e- raza shaheed huwe
shaah-e- har dosaraa shaheed huwe
seh ke ranj-o- balaa shaheed huwe
khaake zehre daghaa shaheed huwe
shaah ke sab ghulaam rote hai
ham se ruqsat imaam hote hai
tha jo maamoon rasheed baaniye shar
dushman-e- qaandaan-e- paighambar
tha jo aamaadah zeher dene par
shaah ko phir talab kiya aaqar
sun ke shaah-e- anaam ghar se chale
hoke ruqsat imaam ghar se chale
jab nazar aayi qabr-e- paighambar
hilgaya seene me dil-e- muztar
jaake lipte lahad se phir sarwar aur kiya ye qitaab roro kar
ek lehza na chain paaya hoo'n
ruqsat e aaqri ko aaya hoo'n
keh ke ruqsat huwe imaam-e- raza
tha madine me tahalka barpa
koi qadmo'n se lipta jaata tha aur labo'n par kisi ke thi ye sadaa
aye shah-e- ausiyaa qudaa haafiz
aye imaam-e- raza qudaa haafiz
tay manaazil ko karke phir ek baar
aaye darbaar me shah-e- abraar
uthaa taazeem-e- sheh ko wo makkaar
paas apne bithaa liya zinhaar
tab kaha shaah se ye wo maghroor
aap is waqt khaaiye angoor
jabr se us laee'n ke waawailaa
khaa ke angoor ko uthe moulaa
poocha mamoon ne chale kis jaa
kaha hazrat ne tu jahaa'n bhejaa
keh ke ye shaah e qaas-o- aam chale
sar pa daale abaa imaam chale
ghar me aakar tadap rahe the imaam
zaher ne kar chuka tha apna kaam
qai jo aayi liyaa jigar to thaam
tha na ek lehza aap ko aaraam
yaas thi bekasi thi ghurbat thi
mere moula pa kya musibat thi
muztarib the bohat shahe zeejaah
ghash jo taari huwaa imaam pa aah
hichki jo aayi mout ki naagaah phir kahaa laa ilaaha ilaaallah
tan se rooh-e- raza idhar nikli
qabr se faatema udhar nikli
aayi'n laashe pe fatima zehra
hai garebaan chaak sar nanga
peet'ti hai ye keh ke sar apna
teri ghurbat pe fatima ho fida
bekasi me pada ye laasha hai
koi tujh par na rone wala hai
aaj hai us imaam ka maatam
jiska ghurbat me haaye nikla dam
jamma aale aba hai sab baaham
baqar o aur jaffer o kazim
jisne dukh zindagi me paaye hai
uski mayyat pe rone aaye hai