aaj maqtal may ajab be saro samaan hai haram
dil hai majrooh khule sar hai pareshan hai haram
qatle shabbir se betaab hai girya hai haram
waarison may nahi ab koi to hairaan hai haram
zikre mazloomi shaahe madani karte hai
kabhi aahein to kabhi seena zani karte hai
qaime sab jal chuke hai loot chuke hai aada
farq par hai kisi bibi ke na maqna na rida
shaam hone ko hai sunsaan hai jangal saara
paas bacchon ko liye baithi hai binte zahra
pyar karti hai isay gah usay samjhati hai
koi masoom jo rota hai to behlati hai
ro ke farmati hai ye khwahare sultane anam
utho sajjad ki ab din hua jaata hai tamaam
jhat pata waqt hai kuch der may hone ko hai shaam
ab na qasim hai na abbas na akbar na imam
dil e paj murda pa ek gham ki ghata chaayi hai
raat hone ko hai aur aalame tanhaai hai
kaan may pahunchi jo sajjad ke zainab ki sada
khol kar aankh ye ki arz basad aah o buka
kya kahun aap se qaabu may nahi dil mera
tap zyada hai to ghaflat bhi hai kuch aaj siwa
kaun maara gaya aur kaun juda hota hai
mujhko kuch hosh nahi hai ke ye kya hota hai
bole fizza se ye phir abid e bemaar o hazeen
jitne bacche hai bula lo to unhe mere qareen
jamah fizza ne kiya bacchon ko la la ke wahin
par na do ladke thay aur ek sakina ghamgeen
dhoondne chaar taraf misle nazar jaati thi
un ke rone ki sada bhi na magar aati thi
kaha abid ne ki ay khwahare sultane huda
laaiye sheh ne banayi hai jo farde shohda
dekh loo wo to mere dil ko tasalli ho zara
naam twhreer hai us fard may kiska kiska
jo gaye khuld me ab khwaab hai surat unki
jo mere saath hai laazim hai hifazat unki
sun ke ye kehne lagi zainabe tafteeda jigar
le gaye loot ke asbaab to sab baani e shar
usi asbaab may wo fard bhi thi ay dilbar
sun ke kehne lage sajjad ye badeeda e tar
fikr kuch aur mai pabande alam kar loonga
qatl jo hogaye naam unke raqam kar loonga
keh ke ye likhne lage khaak pe naam e shohda
yaad aaye jo wo sab karne lage aah o buka
dil pe ek teer laga naam jo asghar ka likha
ghame jaankah se tharra gaye saare aaza
yaad karte thay unhe jab to jigar jalta tha
teen bachon ka kahin par na pata chalta tha
ro ke karne lagi sajjad se zainab ye kalaam
jaye tashveesh hai din koi ghadi may hai tamam
dhoondne bacchon ko jaati hoo ki ho jaye na shaam
do ijazat mujhe beta ke tumhi ab ho imam
raasta bhool gaye hai na idhar aayenge
dasht may jaa ke pukarungi to mil jayenge
keh ke abid se chali khwahare sultane huda
aa zara saath mere mud ke ye fizza se kaha
wo bhi hamraah hui karti hui aah o buka
paon rakhti thi kahin aur kahin padta tha
jaa baja dasht may laashe jo nazar aate thay
dil dhadakta tha qadam khauf se tharrate thay
aah thi lab pe rawan ishq thay aur dil tha fugaar
ek taraf ko ye chali jaati thi ba haalat e zaar
nagahan door se dikhlayi diya ek sawaar
boli fizza se ye zainab ke zara badh ke pukar
minnate uski karenge to taras khayega
us se bachon ka pata dasht may mil jayega
hukm paana tha ki fizza ne ye di bad ke sada
ay sawaar is taraf aa is taraf aa behre khuda
koi takleef na denge tujhe hum iske siwa
hum gareebon ki hai ek arz usay sunta jaa
dil hai majrooh bahot roye jo hai bhai ko
tujhse kuch poochna hai fatema ki jaayi ko
mutawaje hua wo sunte hi fizza ki sada
paas aakar kahan kya poochti hai ay dukhiya
boli ye khwahare shabbir ke ay mard e khuda
kisi bacche ko to dekha nahi tu ne ye bata
tashna lab hai watan awaara hai dikh paye hai
choot kar saath se jangal may chale aaye hai
arz ki us ne jigar thaam ke ba-deeda e tar
abhi sehra may jo ek simt padi meri nazar
dekha ek laashe par khoon hai zameen par be-sar
ladki ek choti si baithi hui roti hai magar
wo bhi rota hai udhar jiska guzar hota hai
us ke naalon se ajab dil pe asar hota hai
roke farmane lagi zainab e majrooh e jigar
meharbani ka sila de tujhe rabb e akbar
bas pata mil gaya ehsaan hua tera mujh par
kehke us simt chali girya kuna khaak e basar
ashk e khoon behte thay qaabu may dile zaar na tha
ek fizza ke siwa doosra ghamkhwar na tha
pahunchi maqtal ki taraf dhoondti binte zehra
dekha us jaa pa hai ek noor se mamoor gadha
laash ek usme padi hai ke nahi sar jiska
aur sakina wahin baithi hui karti hai buka
ghash jo hoti hai maza maut ka mil jaata hai
chaunk padti hai to dil seene may hil jaata hai
aayi nazdeek gharaz zainab e tafteeda jigar
baith kar le liya aaghosh may ba-deeda e tar
boli lipta ke kaleje se mai qurban tujh par
tu ne pehchan liya baap ka laasha kyun kar
hijr se maadar e nashaad hui jaati hai
bibi ab ghar may chalo raat hui jaati hai
arz ki usne phuphi se ye basad aah o buka
furqate sheh may tadapne jo laga dil mera
aake is dasht may chillayi mai baba baba
ay phuphi mujhko isi laash se aayi ye sada
aayi hoo seena e shabbir pe sone ke liye
kaha zainab ne ke ab ghar chalo rone ke liye
ye to behlati thi ro ro ke wo deti thi jawab
aatish e gham se wo nanha sa kaleja tha kabaab
godh may machli hua dil jo zyada betaab
pyaar karke use zainab ne ba chashme pur aab
li balaaein kabhi gah aankhon se aansu poche
khoon e sarwar se bhare jo thay wo gaysu poche
dono bacchon ko chali dhoondne phir wo muztar
dekhti kya hai ke wo baaghe nabi ke gultar
nagahan jaa padi ek simt biyaban may nazar
baahein gerdan may hai aur so rahe hai rakhe sar
gard is tarah hai un chand se rukhsaron par
abr bareek ho jis tarah se sayyaron par
aayi nazdeek jo roti to ye naksha dekha
mitti sarka ke wahan lete hai wo maahleqa
hont sookhe huwe thay pyaas jo thi had se siwa
jis jagah paa ke tari kuch ho kaleja thanda
baap ka seena nahi maa ki bhi aaghosh nahi
aise ghaafil hai ki tan ka bhi unhe hosh nahi
dekhte hi inhe bas baith gayi zainabe zaar
le ke dono ki balayein kiya phir khoob sa pyar
sar rakhe khaak se zaanu pe utha kar ek baar
boli ab ghar may chalo neend se ho kar hoshiyar
sard jangal ki hawa baaees aaram hui
dashte ghurbat may khabar bhi hai tumhe shaam hui
neend se jab huwe hoshyaar na wo rashke qamar
dam na paaya to ye farmane lagi peet ke sar
jhuk ke phir ghaur se chehro pe ki zainab ne nazar
shayad in dono ka ab ho gaya dunya se safar
dashte ghurbat may kiya sab se kinara bachon
haye be maut tumhe pyaas ne maara bachon
arz karne lagi zainab se ye fizza ghamgeen
bibi hae hae mere dil ko yehi hota hai yaqeen
loot kar qaimon ko jaane lagi jab fauje layeen
aagaye ghodo ke paon may ye khursheed e mubeen
haal inke jigar o qalb ko tadpaate hai
phool se jismon pe sab neel nazar aate hai
bas haseen rok qalam ab nahi taabe tehreer
dil may nashtar ki tarha chubte hai ab ranj ke teer
saaf har zakhm sada dete hai hae hae shabbir
kaisi bargasta hui ahle haram ki taqdeer
aasman gir na pada phat ke sitamgaron par
zulm kya kya na kiye fatema ke pyaron par