Kanz e Aza

AB AAYE HO BABA

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Shahid Pakistani and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Wo Karbala Wo Shaame Ghariba'n wo teergi

Wo Zainabe Hazee'n wo hifazat Khayaam ki

Aaya Wo Ek Sawaar Qareebe Qayame Shah

Beti Ali ki Ghaiz me Suwe Faras badhi


Ulti Naqaab Chehre se Apne Sawaar ne

Peshe nigaahe Zainabe Mazloom thhe Ali

Har channd Sabira Thi bohut Binte Fatima

Be saakhta Zabaa'n pa ye Faryaad aagayi


Ab Aaye Ho Baba

Zainab ne kaha Baap ke Qadmo'n se lipat kar, Ab Aaye ho Baba

Jab lut gaya pardes me Amma ka bhara Ghar, Ab Aaye ho Baba

Baba agar aana hi tha Khaliq ki Riza se, us waqt na aaye


Jab khaak pa dam tod raha tha Mera Akbar, Ab Aaye ho Baba

Kat kat ke gire nahr pa jab Baazu e Abbas, aur koi na tha paas

Us waqt Sada Aapko Deta Tha Dilawar, Ab Aaye ho Baba

Jab farshe zami baame falak larza fisha'n the, us waqt kahan the


Jab Baap ke Chullu me tha Khoone Ali Asghar, Ab Aaye ho Baba

Jab Bhai ka Sar kat'ta tha Main dekh Rahi thi, Hazrat ko Sada Di

Sar Khole huwe Rothi Thi Main Khaime ke dar par, Ab Aaye ho Baba

Jab log bacha legaye Laashe Shohda ke, Haq apna jata ke


Bas ek Tan-e Shabbir Tha pamali ki zad par, Ab Aaye ho Baba

Jab Shaam ke qazzaaq Hame loot rahe the, Khaimo'n ko jala ke

Aap Aagye Hote to na chhinti Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba

Jab Baali Sakina ke Gohar chhine gaye thhe, lagte the tamache Hasrat


se Mujhe Dekhti thi Banu-e Muztar, Ab Aaye ho Baba

Kya Aapne Firdous se ye Dekha na Hoga, kya hashr bapa tha

Jab Pusht se Bimar ke khaincha gaya bistar, Ab Aaye ho Baba

Ek raat ke mehman hai phir qaid e salasil, ab saqt hai manzil = Bazar


me Ham sub'ha ko Jayenge khule Sar, Ab Aaye ho Baba

Shaahid Rukh e Hyder pa Bikhar Jaate the aansu jab Kholke Gesu

Chillaati thi Zainab Mere Baba Meri Chaadar, Ab Aaye ho Baba