jab aayi shame ghareeban bapa hua matam
qayame shaah se aati thi ek sada payham
mai tumse karti hoo wada ay mere pyare chacha
mai tumse pani na maangungi ab khuda ki qasam
abbas abbas ammu-janam man aab namiqaham
phat'ta hai gham se seena mushkil hua hai jeena
ahle haram ka aaya hirtaas mein safina
be-aasra huye hum, abbas abbas…
darya se jald aao gham se mujhe bachao
kab tak tamache khaye ye gham-zada batao
koi nahi hai humdum, abbas abbas…
kaano se khoon rawan hai lab par mere fughan hai
daaman sulag raha hai sehra dhuan dhuan hai
saari fiza hai barham, abbas abbas…
sar par nahi hai chadar maidan mein jaake sarwar
kyon laut ke na aaye kuch to batao aakar
hai bekasi ka aalam, abbas abbas…
asghar ne teer khaaya veeran kiya hai jhoola
bano ke dil pe ammu ye zakhm hai kuch aisa
jiska nahi hai marham, abbas abbas…
rassi galay mein baandhi aada ne kaske aisi
tumko bataun kaise rukti hai saans meri
honton pe aa gaya dum, abbas abbas…
dur chin gaye hamare gardish mein hai sitare
roodaad kya bayan ho dil kis ko ab pukare
hai bekasi ka mausam, abbas abbas…
jaati hoon suye zindan sar hai phuphi ka uryan
be-warisi pe apni kunba hai saara giriya
aankhein hai sab ki purnam, abbas abbas…
rehan azmi ka likha hua ye noha
nasir pada jo maine dil khud ba khud pukara
laazim hai ab to matam, abbas abbas…