jab gardane shabbir pe phera gaya khanjar
pardes mein loota gaya zahra ka bhara ghar
qasim hai na akbar hai na abbas e dilawar
kunbe ki nigehban hai ab zainabe muztar
aayi shaam e ghariban zainab hui tanha
laasha tadap raha tha kisi ka labe furaat
cheeni thi shimr ne sar e zainab se jab rida
aayi shaam e ghariban....
bache ko apne dhoondti hai maa andhere mein
haathon pe hai liye huwe jhoola jala hua
aayi shaam e ghariban....
dulhe ka laasha ghodon se pamaal hogaya
ye kaisa waqt hazrate kubra pe aa gaya
aayi shaam e ghariban....
ammu bachaiye mujhe shimr e layeen se
ek bachi dasht mein yehi deti rahi sada
aayi shaam e ghariban....
bikhraye apne baalon ko roti thi fatema
jis dum tha halq e shaah pe khanjar layeen ka
aayi shaam e ghariban....
qaimon ki raakh bikhri padi thi zameen par
baitha tha sar jhukaye aseeron ka khaafila
aayi shaam e ghariban....
ahmed bayan karta hai karbal ke waqiyaat
mohsin jigar ko thaam ke padta hai marsiya
aayi shaam e ghariban....