Kanz e Aza

Aale Ahmed ki Khooni

A noha for Shaam e Ghareeba. Lyrics in Roman Urdu.

aal e ahmed ki khooni kahani

lo suno karbala ki zabani


kaisi afsurdaiye chandni hai

chaayi moharram par murzami hai


ek bibi hai maqtal mein phirti

aur ek ek laashe pa girti


is tarha dil kisi ka na toote

apne pyaron se koi na choote


rayt par itne laashe pade hai

kaise moti kahan par pade hai


jalte qaimon mein bache ghire hai

kaise inke muqadar phire hai


kaaf le kar koi yun khada hai

ek bemaar tanha pada hai


yun sakeena ke gauhar lutay hai

door darya pa shaane katay hai


silsila imtehan ka hai jaari

bibi zainab tumhari hai baari


nanhe bachon ko lori sunao

khaali jhoole ki dori hilao


dekho akbar pe girya na hona

misle maadar pareshan na hona


bhai bhai na yun tum pukaro

shaam ke simt ab tum sidharo