Kanz e Aza

Bala uthaake haram karbala se aate hai

A marsiya. Lyrics in Roman Urdu.

Balaa uthake haram karbala me aate hai

Mareez shaam ke daarushifa me aate hai

Ajeeb shikwe se dashte bala me aate hai

Ghame hussain me yaade quda me aate hai


Jigar ke tukde bhare damanou me aaye hai

Yeh qabr e sheh pe chadhane ko phool laaye hai


Bukhar me hai raqam yeh riwayat e jaa'n kaah

Jab aaye ehle haram janibe shahadath gaah

Naa gul na shamma mili bekasou ki qabr pe aah

Mujaveri ko faqat jaaber ibne abdullah


Qureshi aaye hai aur hashmi bhi hazir hai

Musaferou ke mujaver bhi sab masafir hai


Do shamiyaane hai baalaye qabre sibte rasool

Woh ek toh rehmate haq ek dard e aahe batool

Falak se hur o malak ka hai fouj, fouje nuzool

Ziyarate shahe mazloom kar rahe hai husool


Lahad se akbar o asghar ke daagh roushan hai

Mazaar ek hai par do charagh roushan hai


Labe furaat hai saqqa ki qabre aali jaa

Jo woh hai shahr shaheedo ka to yeh shehre panah

Khareeb dur se hai zairo'n ki haafeze raah

Mujaviri ko lahad par hai roohe sher ilaah


Lahad me haye sakina ka shor hota hai

Sakina kehti hai saqqa humara rota hai


Udhar aya'n huvi bus zainab khasta qisaal

Idhar lahad me tadap ne laga rasool ka laal

Nida mazar se jaaber ko di ba ranjo malaal

Mai jeeta hota toh karta bahen ka isteqbaal


Sharaf hai fatima ka fatima ki jayi ko

Meri taraf se tu jaa uski peshwayi ko


Chala ma'ara faqa jaaber e qasta nehaad

Sare hussain liye hathou par male sajjad

Khadam par gir padha jaaber ba nalao faryaad

Pukari abide bekas ko zainab e nashaad


Gale lagalo mohibbe nabi ye jaaber hai

Ye turbat e shahe mazloom ka mujavir hai


Gale laga liya jaaber ko shaahe wala ne

Gale pa neel rasan ke dikhaaye aaqa ne

Kaha ke loot liya bhaai hum ko aada ne

Jo hum pa hogaya hum jaane ya quda jaane


Sare hussain badi mehnatou se laaya hu

Dobaara baap ko mai dafn karne aaya hu


Mohibbe peetne ki jaa hai aaho wawaila

Gharaz daroode haram qabre shaahe dee'n pa huwa

Qanaat rok ke aabid waha rahe tanha

Khade huwe the bagirde qanaat aale aba


Wahaa shigaafta aijaaz se mazaar huwa

Zamee'n ke parde se qursheed aashkaar huwa


Tane hussain se mu'allaq kiya hussain ka sar

Huwa zameen me goya quraane shamso qamar

Lahad pa taqt kaloobi qareena se rakh kar

Pukaare abid e bekas mohibbo aao idhar


Suno ba gosh ke is dam rasool rote hai

Dobara dafn mere baba jaan hote hai


Ye kehke rone lage haye abide beemar

Mazaar shaahe gareeba jo ho chuka taiyyar

Sarhane baith ke sab fateha padhe ek baar

Gharaz ke qaima e jaaber me aaye sab deen daar


Haram ne qabr pe samane ashke waah kiya

Sare mazaar bapa qaimaye siyaah kiya


Siyaah qaime me utre siyaah posh haram

Tawafe qabr kiya halqa baandh kar baaham

Sabho'n ne qabr ko baalou se jhada jab usdam

Laraz laraz gayi sadme se qabr e shaahe umam


Lahad pa sheh ki masnad bichayi zainab ne

Salaam ke liye gardan jhukayi zainab ne


Phupi ke saath sakina ne bhi kiya mujraa

Kaha batao toh bibi mujhe baraye khuda

Mazaar par jo bichayi hai masnade zeba

Nikal ke qabr se baithi ke kya mere baba


Kaha phupi ne tera puchna rulata hai

Bhala yu qabr me bhi jake koi aata hai


Lipat ke qabr se awaaz di dohayi hai

Ek arbaee'n se bahen bhai me judai hai

Hussain bhai bahen ki bhuki piyasi aati hai

Umeed ware ziyafat yeh amma jayi hai


Na farsh hai naa makaa'n hai na dana payi hai

Saqi ke laal yahi meri meh maani hai


Nikalo hath lahad se gale lagalo mujhe

Watan naa jaungi mai qabr me bulalo mujhe

Barehna sar hu ba zere kafan chupalo mujhe

Aqi bala me giraftar hu nikalo mujhe


Tumhe sakina ki khatir se ro nahi sakti

Yateem parwari ab mujh se ho nahi sakti


suno hussain suno tum se mere sawaal hai do

Jo bhej te ho watan ko toh tum bhi sath chalo

Nahi toh zere qadam apne aye shahe khush qu

Zameene qaake shifa ek lahad ki khatir do


Lahad ke saye me mera yahi thikana ho

Tumhari payenti ho aur mera sarhana ho