Kanz e Aza

Tera naam hi aisa hai

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2010). Lyrics in Roman Urdu.

Tera naam hi aisa hai


Tera naam hi aisa hai- MIR HASAN MIR 2010

Ali Ali Maula..(4)

Ali Ali Ali Ali..(4)

Ali ali ali


Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali


Aye shahe najaf maula..(2)


Tera naam hi aisa hai...


1. Khushbu e wila aati hai har dil e momin se

Aur aag si lagti hai har dilme munafiq ke

Kyu aisa na ho maula


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


2. Ye jism ye jaan maula teri hi amanat hai

Tere naam pe marne ka in'aam shahadat hai

Kyu jaan se na ho pyara


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


3. Tere khalq me aane se jab khush hai khudai bhi


Phir fart e musarrat se deewar bhi kaabe ki

Kyu cheer na le seena

Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai:..Ali Ali..(2)


4. Milta hai sabaq humko ye qaul e payambar se

Koi bhi zamana ho shajre ko munafiq ke

Chhupne hi nahi deta


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


5. Mamnoon tera maula har daur e nabuwat hai

Meraj me khaaliq ko teri hi zarurat hai

Kyu aisa na ho maula


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


6. Aghyaar ke naamo par khaali hi palat ta hai

Kis naam pe milta hai saail b samajta hai

Raaziq hai faqeero ka


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


7. Aati hai sada koi jab nara e haider ki

Guzri hai kaii sadiyaan turbat me magar ab bhi

Dil hilta hai marhab ka


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


8. Duniya ko mai dikhladu gar teri ijazat ho

Tere naam ka mai dedu gar waasta suraj ko

Wo aaj bhi paltega


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


9. Tere khalq me aane se jab khush hai khudai bhi


Phir fart e musarrat se deewar bhi kaabe ki

Kyu cheer na le seena

Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


10. Har dam ye Aqeel aaqa tera zikr hi karta hai

Tere naam pe marta hai tere naam pe jeeta hai

Kaise na jiye aaqa


Tera naam hi aisa hai...

Kyu girta na sambhlega tera naam hi aisa hai..Ali Ali..(2)


Ali Ali Maula..(4)


Tera naam hi aisa hai...